ai majaz ai tarana-bar majaz
zinda paighambar-e-bahaar majaz
ai baru-e-saman-wishan gul-posh
ai ba ku-e-mughan tamam KHarosh
ai parastar-e-mah-ruKHan-e-jahan
ai kaman-dar-e-shairan-e-jawan
tujh se taban jabin-e-mustaqbil
ai mere sina-e-umid ke dil
ai majaz ai mubassir-e-KHad-o-KHal
ai shuur-e-jamal o sham-e-KHayal
ai surayya-fareb o zohra-nawaz
shair-e-mast o rind-e-shahid-baz
naqid-e-ishwa-e-shabab hai tu
subh-e-farda ka aaftab hai tu
tujh ko aaya hun aaj samjhane
haif hai tu agar bura mane
KHud ko gharq-e-sharab-e-nab na kar
dekh apne ko yun KHarab na kar
shairi ko teri zarurat hai
daur-e-farda ki tu amanat hai
sirf teri bhalai ko ai jaan
ban ke aaya hun naseh-e-nadan
ek Thahraw ek takan hai tu
dekh kis darja dhan-pan hai tu
nang hai mahz ustuKHan hona
saKHt ihanat hai na-tawan hona
ustuKHwani badan duKHani post
ek sangin jurm hai ai dost
sharm ki baat hai wajud-e-saqim
na-tawani hai ek gunah-e-azim
jism aur ilm turfa taqat hai
yahi insan ki nubuwwat hai
jo zaif-o-alil hota hai
ishq mein bhi zalil hota hai
har hunar ko jo ek daulat hai
ilm aur jism ki zarurat hai
kasrat-e-baada rang lati hai
aadmi ko lahu rulati hai
KHush-dilon ko rula ke hansti hai
sham-e-aKHtar bujha ke hansti hai
aur jab aafat jigar pe lati hai
rind ko maulwi banati hai
mai se hota hai maqsad-e-dil faut
mai hai buniyaad-e-maulwiyyat-o-maut
kan mein sun ye baat hai nashtar
maulwiyyat hai maut se bad-tar
is se hota hai kar-e-umr tamam
is se hota hai aql ko sarsam
is mein insan ki jaan jati hai
is mein shair ki aan jati hai
ye zamin aasman kya shai hai
aan jae to jaan kya shai hai
gauhar-e-shah-war chun pyare
mujh se ek gur ki baat sun pyare
gham to banta hai chaar din mein nashat
shadmani se rah bahut mohtat
gham ke mare to ji rahe hain hazar
nahin bachte hain aish ke bimar
aan mein dil ke par hoti hai
pankhuDi mein wo dhaar hoti hai
ju-e-ishrat mein gham ke dhaare hain
yaKH-o-shabnam mein bhi sharare hain
han sambhal kar latafaton ko barat
TuT jae kahin na koi parat
dekh kar shisha-e-nashat uTha
ye waraq hai waraq hai sone ka
kaghaz-e-baad ye nagina hai
balki ai dost aabgina hai
saghar-e-shabnam-e-KHush-ab hai ye
aabgina nahin habab hai ye
rok le sans jo qarib aae
Thes us ko kahin na lag jae
tegh-e-masti ko ehtiyat se chhu
warna Tapkega ungliyon se lahu
mastiyon mein hai tab-e-jalwa-e-mah
aur siyah mastiyan KHuda ki panah
KHub hai ek had pe qaem nasha
halka phulka subuk mulaem nasha
han adab se uTha adab se jam
taki aab-e-halal ho na haram
jam par jam jo chaDhate hain
unT ki tarah bilbilate hain
zindagi ki hawas mein marte hain
mai ko ruswa-e-dahr karte hain
yaad hai jab 'jigar' chaDhate the
kya alif ho ke hin-hinate the
meri gardan mein bhar ke chand aahen
panw se Dalte the wo banhen
aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti
uf ghaTa-Top nashshe ka tufan
bhut ifrit dew jin shaitan
lat ghunsa chhaDi chhuri chaqu
lib-libahaT luab kaf badbu
tanz aawaza barhami ifsad
tan tashnia mazhaka irad
shor hu-haq abe-tabe hai hai
aukhiyan galiyan dhamake qai
mas-masahaT ghashi tapish chakkar
soz sailab sansani sarsar
chal-chaKHe chiKH chunan-chunin chinghaD
chaKH-chaKHe chaun chaun chil-chilhaD
lappa-Dukki latam lam laDai
haul haijaan hank hatha-pai
khalbali kaon kaon khaT-manDal
haunk hangama hamhama halchal
uljhan aawargi udham aiThan
bhaunk bhaun bhaun bhinan bhinan bhan-bhan
dhaul-dhappa dhakaD-pakaD dhutkar
tahlka tu taDaq tuf takrar
bu bhabhak bhay bikas barar bhaunchaal
dabdabe dandanahaTen dhammal
gah narmi o lutf o mehr o salam
gah talKHi o turshi o dushnam
aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti
sirf nashshe ki bhigne de masen
in ko banne na de kabhi monchhen
al-aman KHaufnak kala nasha
oh rish-o-burut wala nasha
azhdar-e-marg o dew-e-KHun-KHwari
al-aman nashsha-e-jaTadhaari
nashshe ka jhuT-puTa hai nur-e-hayat
jhuTpuTe ko bana na kali raat
nashshe ki tez raushni bhi ghalat
chaudhwin ki si chandni bhi ghalat
zehn-e-insan ko baKHshta hai jamal
nashsha ho jab ye qadr-e-nur-e-hilal
ghurfa-e-aql bheD to akasr
par use kach-kacha ke band na kar
raat ko lutf-e-jam hai pyare
din ka pina haram hai pyare
din hai ifrit-e-az ki khankar
raat pazeb nazuki jhankar
din hai KHashak KHak dhul dhuan
raat aaina anjuman afshan
din musallah dawan kamar basta
raat taq-o-rawaq-o-gul-dasta
din hai faulad-e-sang tegh-e-alam
raat kam-KHwab pankhuDi shabnam
din hai shewan duhaiyan dukhDe
raat mast ankhDiyan jawan mukhDe
din kaDi dhup ki bad-ahangi
raat pichhle pahar ki sarangi
din bahadur ka ban bir ki rath
raat champa-kali anguThi nath
din hai tufan-e-jumbish-o-raftar
raat mizan-e-kakul-o-ruKHsar
aaftab-o-sharab hain bairi
botalen din ko hain pachhal pairi
kar na pamal hurmat-e-auqat
raat ko din bana na din ko raat
pi magar sirf sham ke hangam
aur wo bhi ba-qadr-e-yak-do jam
wahi insan hai KHurram-o-KHursand
jo hai miqdar o waqt ka paband
mere pine hi par na ja meri jaan
mujh se jina bhi sikh hain qurban
us ke pine mein rang aata hai
jis ko jine ka Dhang aata hai
ye nasaeh bahut hain besh-baha
jald so jald jag jald naha
bagh mein ja tulua se pahle
ta nigar-e-sahar se dil bahle
sarw-o-shamshad ko gale se laga
har chaman-zad ko gale se laga
munh andhere faza-e-gulshan dekh
sahil o sabza-zar o sausan dekh
gah aawara abr-pare dekh
in ki raftar mein sitare dekh
jaise kohre mein tab-e-ru-e-niku
jaise jangal mein raat ko jugnu
gul ka munh chum ek tarannum se
nahr ko gudguda tabassum se
jism ko kar araq se nam-alud
taki shabnam paDhe lahak ke darud
phenk sanjidgi ka sar se bar
nach uchhal dandana chhalangen mar
dekh aab-e-rawan ka aaina
dauD sahil pe tan kar sina
mast chiDiyon ka chahchahana sun
mauj-e-nau-mashq ka tarana sun
bostan mein saba ka chalna dekh
sabza o sarw ka machalna dekh
shabnam-alud kar suKHan ka libas
chakh dhundalke mein bu-e-gul ki miThas
shairi ko khila hawa-e-sahar
is ka nafqa hai teri gardan par
raqs ki lahr mein ho gum lab-e-nahr
yun ada kar urus-e-sher ka mahr
jazb kar bostan ke naqsh-o-nigar
zehan mein khol misr ka bazar
narm jhonkon ka aab-e-haiwan pi
bu-e-gul rang-e-shabnamistan pi
gun-guna kar nazar uTha kar pi
subh ka shir daghdagha kar pi
taki mujre ko aaen kul barkat
daulat jism o ilm o aql o hayat
ye na tana na ye ulahna hai
ek nukta bas aur kahna hai
ghaibat-e-nur ho ki kasrat-e-nur
zulmat-e-tam ho ki shoala-e-tur
ek sa hai wabaal donon ka
tirgi hai maal donon ka
darKHur-e-sahab-e-maal nahin
har wo shai jis mein e'tidal nahin
shadmani se pi nahin sakta
jis ko hauka ho ji nahin sakta
ai pisar ai baradar ai hamraaz
ban na is tarah dur ki aawaz
koi bimar tan nahin sakta
KHadim-e-KHalq ban nahin sakta
KHidmat-e-KHalq farz hai tujh par
daur-e-mazi ka qarz hai tujh par
asr-e-hazir ke shair-e-KHuddar
qarz-dari ki maut se hoshyar
zehn-e-insaniyat ubhaar ke ja
zindagani ka qarz utar ke ja
tujh pe hindostan naz kare
umr teri KHuda daraaz kare
Nazm
Pand-nama
Josh Malihabadi