naqsh yan jis ke miyan hath laga paise ka
us ne tayyar har ek ThaTh kiya paise ka
ghar bhi pakiza imarat se bana paise ka
khana aaram se khane ko mila paise ka
kapDa tan ka bhi mila zeb-faza paise ka
jab hua paise ka ai dosto aa kar sanjog
ishraten pas huin dur hue man ke rog
khae jab mal-pue dudh dahi mohan-bhog
dil ko aanand hue bhag gae rog aur dhog
aisi KHubi hai jahan aana hua paise ka
sath ek dost ke ek din jo main gulshan mein gaya
wan ke sarw-o-suman-o-lala-o-gul ko dekha
puchha us se ki ye hai bagh batao kis ka
us ne tab gul ki tarah hans diya aur mujh se kaha
mehrban mujh se ye tum puchha ho kya paise ka
ye to kya aur jo hain is se baDe bagh-o-chaman
hain khile kiyariyon mein nargis-o-nasrin-o-suman
hauz fawware hain banglon mein bhi parde chalwan
ja-ba-ja qumri-o-bulbul ki sada shor-afgan
wan bhi dekha to faqat gul hai khila paise ka
wan koi aaya liye ek murassa pinjDa
lal dastar-o-dupaTTa bhi hara jun-tota
is mein ek baiThi wo maina ki ho bulbul bhi fida
main ne puchha ye tumhaara hai raha wo chupka
nikli minqar se maina ke sada paise ka
wan se nikla to makan ek nazar aaya aisa
dar-o-diwar se chamke tha paDa aab-e-tala
sim chune ki jagah us ki tha inTon mein laga
wah-wa kar ke kaha main ne ye hoga kis ka
aql ne jab mujhe chupke se kaha paise ka
ruTha aashiq se jo mashuq koi haT ka bhara
aur wo minnat se kisi taur nahin hai manta
KHubiyan paise ki ai yaro kahun main kya kya
dil agar sang se bhi us ka ziyaada tha kaDa
mom-sa ho gaya jab nam suna paise ka
jis ghaDi hoti hai ai dosto paise ki numud
har tarah hoti hai KHush-waqti-o-KHubi bahbud
KHush-dili tazgi aur KHurmi karti hai durud
jo KHushi chahiye hoti hai wahin aa maujud
dekha yaro to ye hai aish-o-maza paise ka
paise wale ne agar baiTh ke logon mein kaha
jaisa chahun to makan waisa hi Dalun banwa
harf-e-takrar kisi ki jo zaban par aaya
us ne banwa ke diya jaldi se waisa hi dikha
us ka ye kaam hai ai dosto ya paise ka
nach aur rag ki bhi KHub-si tayyari hai
husn hai naz hai KHubi hai tarah-dari hai
rabt hai pyar hai aur dosti hai yari hai
ghaur se dekha to sab aish ki bisyari hai
rup jis waqt hua jalwa-numa paise ka
dam mein dam ke yaro jo mera dil hai asir
is liye hoti hai ye meri zaban se taqrir
ji mein KHush rahta hai aur dil bhi bahut aish-pazir
jis qadar ho saka main ne kiya tahrir 'nazir'
wasf aage main likhun ta-ba-kuja paise ka
Nazm
Paisa
Nazeer Akbarabadi