zaifi ki shikan-alud chadar se badan Dhanpe
wo apni naujawan poti ke sath
aahista aahista
saDak ke ek jaanib chal raha tha
guman hota tha
jaise dhup ke kandhe pe
chhanw hath rakkhe chal rahi hai
chiKHti eDiyon par kaDkaDati haDDiyan gaDe hue
wo jism ka malba uThae ja raha tha
agarche panw jumbish kar rahe the
magar buDhi kamar itni KHamida thi
ki Tangen jhulti baisakhiyan malum hoti thin
achanak ek jip aa kar ruki
laDke ne shishe ko utara aur dekha
phul patli shaKH se laTka hua tha
KHazana ghaar mein tha
aur dahane par faqat makDi ka jala tha
hiran pinjre mein tha
aur us ke darwaze par zang-alud tala tha
wo bhuke sher ki manind lapka
aur us laDki ki
nili kanch mein lipTi kalai par shikanja kas diya
buDhe ne kandha chhoD kar apni kamar par hath rakkhe
apni aankhon ko nazar di
aur apne panw par Tangen laga lin
badan salon ki dimak ki
musalsal kar-farmai se Dhal jate hain
lekin ghairaten buDhi nahin hotin
na jaane wo hawa ka tez jhonka tha
ya buDhe panw ke halke tawazun ki Dhilai thi
phir laDke ke hathon ki daraazi thi
ki wo buDha
baDi hi bebasi ke sath niche gir gaya
aur us ke Dhalke jism ne
kali saDak ke sath Takraate hi ek aawaz di
pachasi sal niche gir gae the
kabhi jab zalzala aae
to us ki jhurjhuri si muKHtalif umron ke ghar
girte hain aur aawaz dete hain
nae cement mein lipTi nam-imarat gir paDe
to gaD-gaDahaT phail jati hai
palaza munhadim ho jae to us ke dhamake mein
musalsal chaDchaDahaT
sath deti hai
magar koi haweli gir paDe
jis ke dar o diwar par
kai andhera gundh ke apni hari poron se malti hai
to us mein sadiyan bolti hain
aur guzri saaton ki kanpti KHamoshiyan aawaz deti hain
jab us ne hath se dharti daba ke
kohniyon ki aazmaish ki
ki shayad is tarah wo uTh sake
to sirf apne sar ko gardan ka sahaara de saka
baalon ki lambi ek laT
mathe pe mutawazi khudi shiknon mein
chhup kar kanpti thi
aur kuchh baalon ko taza choT rangin kar gai thi
tahayyur bebasi ke sath
aankhon ki nami mein jazb ho kar
aahani chashme ke
shishon mein larazta tha
khule honTon mein danton ke shagafon ko
zaban paiwand karti thi
dahan ke nam kinare
kan ke bun
surKH ruKHsaron ke bal
chah-e-zaqan ke munh se laTke
tah-ba-tah gardan ke silwaT
aur un mein Dolte pani ke qatre
sab ke sab hilte the
bas raftar mein ek dusre se muKHtalif the
haweli gir gai thi
unnabi gard ne diwar o dar gahna diye the
fasilen surmai talab ke andar giri thin
haram darwaza pain bagh mein aundha paDa tha
aur us ki kil mein uljha hua
barik parda hil raha tha
Nazm
Pachasi sal niche gir gae
Waheed Ahmad