miyan-e-hind-o-pakistan ek sarhad ka jhagDa hai
wagarna is imarat ke manare ek jaise hain
karachi ka kitchen ho ya wo dakan ki rasoi ho
namak ka farq hai bengan bhagare ek jaise hain
pajamon ke design ko badal Dala to kya gham hai
hamari biwiyon ke to gharare ek jaise hain
pareshan haal hai public magar donon mumalik ke
mirasi cricketer filmi sitare ek jaise hain
kanware log to har mulk mein aazad phirte hain
magar shadi-shuda qismat ke mare ek jaise hain
barae aqd-KHwani qaziyon mein farq hai lekin
karachi aur dilli ke chuware ek jaise hain
kanwara aadmi ho ya koi aazad leader ho
jo be-pende ke loTe hain wo sare ek jaise hain
nikamme rahnuma aur aql se paidal siyasat-dan
hamare ek jaise hain tumhaare ek jaise hain
yahan ka KHalid-e-irfan wahan ke 'rahat'-indori
nire shaer hain donon ke sitare ek jaise hain
Nazm
Pak o hind yak-jehti
Khalid Irfan