dekh ni mae?
sundar mathe ki rekhaen
tere hath ki rekhaon se milti-julti
uttar dakhkhin purab pachchhim ek safar hai Tanwan Tanwan
dekh gulabi aag pe senki
Dab khaDbi roTi jaisa chehra mera
dekh ni mae
sarson jaise hath the mere
hare hare kangan ki chunni
giTa giTa baalan chunna in ko mahnga paD jaega
kab socha tha
diwaron par gara milte
hath adhure rah jaenge
aadhe aadhe logon andar pure KHwab mashaqqat jaise
kahe kaT sake hai koi
itna to batlaya hota
dekh ni mae!
kikar ki shaKHon si baaten
roz nagalni paD jaen to
hanDiya kachchi rah jati hai
hanDiya kachchi rah jae to pakke lafz hathauDa ban kar
man ka kachla kar dete hain
TaT ka paiwand aankh mein ho to
resham thoDa paD jata hai
sans ki puni punte punte
jiwan aadha rah jata hai
uplon ki diwaren ek din
jism ke bhitar dar aa jati hai
sahn ka shisham peng ke mausam se pahle murjha jata hai
banhen jhula ban jati hain
gham ko pankhi jhalte jhalte
sari baaten man andar ki kachra ghaTi ban jati hain
aawazon ki is duniya mein
tanha baaten karte karte
banda rogi ho jata hai
sar ki chandi mein nali ka tel chapaD kar
nashsha karne wale jogi
pyas bujhane aa jate hain
mushk ka baalan ban jata hai
aur phir duniya nam badal kar kaise pagal kar deti hai!
dekh ni mae!
Nazm
Pagal
Iliyas Babar Aawan