wo nau-KHez nura wo ek bint-e-maryam
wo maKHmur aankhen wo gesu-e-pur-KHam
wo arz-e-kalisa ki ek mah-para
wo dair-o-haram ke liye ek sharara
wo firdaus-e-maryam ka ek ghuncha-e-tar
wo taslis ki duKHtar-e-nek-aKHtar
wo ek nurse thi chaara-gar jis ko kahiye
madawa-e-dard-e-jigar jis ko kahiye
jawani se tifli gale mil rahi thi
hawa chal rahi thi kali khil rahi thi
wo pur-roab tewar wo shadab chehra
mata-e-jawani pe fitrat ka pahra
meri hukmarani hai ahl-e-zamin par
ye tahrir tha saf us ki jabin par
safed aur shaffaf kapDe pahan kar
mere pas aati thi ek hur ban kar
wo ek aasmani farishta thi goya
ki andaz tha us mein jibrail ka sa
wo ek marmarin hur KHuld-e-barin ki
wo tabir aazar ke KHwab-e-hasin ki
wo taskin-e-dil thi sukun-e-nazar thi
nigar-e-shafaq thi jamal-e-nazar thi
wo shoala wo bijli wo jalwa wo partaw
sulaiman ki wo ek kaniz-e-subuk-rau
kabhi us ki shoKHi mein sanjidgi thi
kabhi us ki sanjidgi mein bhi shoKHi
ghaDi chup ghaDi karne lagti thi baaten
sirhane mere kaT deti thi raaten
ajab chiz thi wo ajab raaz thi wo
kabhi soz thi wo kabhi saz thi wo
naqahat ke aalam mein jab aankh uThti
nazar mujh ko aati mohabbat ki dewi
wo us waqt ek paikar-e-nur hoti
taKHayyul ki parwaz se dur hoti
hansati thi mujh ko sulati thi mujh ko
dawa apne hathon se mujh ko pilati
ab achchhe ho har roz muzhda sunati
sirhane mere ek din sar jhukae
wo baiThi thi takiye pe kuhni Tikae
KHayalat-e-paiham mein khoi hui si
na jagi hui si na soi hui si
jhapakti hui bar bar us ki palken
jabin par shikan be-qarar us ki palken
wo aankhon ke saghar chhalakte hue se
wo aariz ke shoale bhaDakte hue se
labon mein tha lal-o-gohar ka KHazana
nazar aarifana ada rahibana
mahak gesuon se chali aa rahi thi
mere har nafas mein basi ja rahi thi
mujhe leTe leTe shararat ki sujhi
jo sujhi bhi to kis qayamat ki sujhi
zara baDh ke kuchh aur gardan jhuka li
lab-e-lal-e-afshan se ek shai chura li
wo shai jis ko ab kya kahun kya samajhiye
behisht-e-jawani ka tohfa samajhiye
sharab-e-mohabbat ka ek jam-e-rangin
subu-zar-e-fitrat ka ek jam-e-rangin
main samjha tha shayad bigaD jaegi wo
hawaon se laDti hai laD jaegi wo
main dekhunga us ke bipharne ka aalam
jawani ka ghussa bikharne ka aalam
idhar dil mein ek shor-e-mahshar bapa tha
magar us taraf rang hi dusra tha
hansi aur hansi is tarah khilkhila kar
ki sham-e-haya rah gai jhilmila kar
nahin jaanti hai mera nam tak wo
magar bhej deti hai paigham tak wo
ye paigham aate hi rahte hain akasr
ki kis roz aaoge bimar ho kar
Nazm
Nura
Asrar-ul-Haq Majaz