اردو हिंदी
Numaish mein | Shaahi Shayari
numaish mein

Nazm

Numaish mein

Asrar-ul-Haq Majaz

;

wo kuchh doshizgan-e-naz-parwar
khaDi hain ek bisati ki dukan par

nazar ke samne hai ek mahshar
aur ek mahshar hai mere dil ke andar

sunahra kaam rangin sariyon par
bisat-e-asman par mah-o-aKHtar

jamal-o-husn ke pur-roab tewar
numayan chand si peshaniyon par

wo ruKHsaron pe halki halki surKHi
labon mein pur-fishan ruh-e-gul-e-tar

siyah zulfon mein ruh-e-sumbulistan
nazar sar-chashma-e-tasnim-o-kausar

ada-e-naz gharq-e-kaif-e-sahba
siyah mizhgan sharab-aluda nashtar

chamak taron ki chashm-e-surmagin mein
jhalak chandi ki jism-e-marmarin mein

wo KHushbu aa rahi hai pairahan se
faza hai dur tak jis se moattar

tabassum aur hansi ke narm tufan
fazaon mein musalsal barish-e-zar

nishat-e-rang-o-bu se chur aankhen
sharab-e-nab se labrez saghar

wo mehraben si sinon par numayan
faza-e-nur mein cupid ke shah-par

nafas ke aamad-o-shud se talatum
shab-e-mahtab mein jaise samundar

sitaron ki nigahen jhuk gai hain
zamin phir KHanda-zan hai aasman par

koi aaina-dar-e-husn-e-faras
kisi mein husn-e-yunani ke jauhar

kisi mein aks-e-masum-e-kalisa
kisi mein partaw-e-asnam-e-azar

ye shirin hai wo naushaba hai shayad
nahin yan farq-e-farhad-o-sikandar

ye apne husn mein azra-e-wamiq
wo apne naz mein salma-e-'aKHtar'

ye tabani mein KHurshid-e-daraKHshan
wo ranai mein us se bhi fuzun-tar

hansi us ki tulu-e-subh-e-KHandan
nawa us ki surud-ए-kaif-awar

ye shola-afrin wo barq-afgan
ye aaina-jabin wo mah-paikar

wo jumbish si hui kuchh aanchalon ko
wo lahren si uThin kuchh sariyon par

KHiram-e-naz se naghme jagati
wo chal din ek jaanib muskura kar

kisi ki hasraten pamal karti
kisi ki hasraten ham-rah le kar

kabhi aankhen dukanon par jami hain
kabhi KHud apni hi barnaiyon par

idhar hum ne ek aah-e-sard khinchi
hansi phir aa gai apne kiye par