kali, jagmagati, nirali raaten
ras bhari, madmati raaten
raat ki rani KHushbu se bhari
taron ki maddham nurani chhanw mein
halki ThanDi raaten
baisakhi hawaon
sarangi ki lambi alkaski siskiyon
pyar ke raazon se bojhal
kahani raaten
kahan kho gain hain ya-rab?
kho jaen
to phir kho jaen
lekin wo man-mohak ghaDiyan
KHun mein jaise ghul si gai hain
wo laDkhaDate, adhure, na-mukammal jumle
ab bhi saf sunai dete hain
abaruon palkon mathe ki shiknon ke
banke tirchhe pal pal badalte zawie
jo kya kya kuchh kahte the
dikhai dete hain
wo nit-nai anokhi be-intiha KHushiyan
maujud bhi hain zinda bhi
lekin dard-o-alam ki maujen ban kar
dil ke goshe goshe mein phail gai hain
ye to suna hai zahr kabhi amrit ban jata hai
lekin jab amrit KHud zahrila ho jae
phir aaKHir koi kaise jiye?
Nazm
Nirali raaten
Sajjad Zaheer