raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
din ki KHashm-gin nazren
kho gain siyahi mein
aahani kaDon ka shor
beDiyon ki jhankaren
qaidiyon ki sanson ki
tund-o-tez aawazen
jelaron ki badkari
galiyon ki bauchhaaren
bebasi ki KHamoshi
KHamushi ki fariyaaden
tah-nashin andhere mein
shab ki shoKH doshiza
KHar-dar taron ko
aahani hisaron ko
par kar ke aai hai
bhar ke apne aanchal mein
jangalon ki KHushbuen
ThanDken pahaDon ki
mere pas lai hai
nil-gun jawan sina
kahkashan ki peshani
nim chand ka joDa
maKHmalin andhere ka
pairahan larazta hai
waqt ki siyah zulfen
KHamushi ke shanon par
KHam-ba-KHam mahakti hain
aur zamin ke honTon par
narm shabnami bose
motiyon ke danton se
khilkhila ke hanste hain
raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
raat peng leti hai
chandni ke jhule mein
aasman par tare
nanhe nanhe hathon se
bun rahe hain jadu sa
jhinguron ki aawazen
kah rahi hain afsana
dur jel ke bahar
baj rahi hai shahnai
rail apne pahiyon se
loriyan sunati hai
raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
roz raat ko yunhi
nind meri aankhon se
bewafai karti hai
mujh ko chhoD kar tanha
jel se nikalti hai
bambai ki basti mein
mere ghar ka darwaza
ja ke khaTkhaTati hai
ek nanhe bachche ki
ankhDiyon ke bachpan mein
miThe miThe KHwabon ka
shahad ghol deti hai
ek hasin pari ban kar
loriyan sunati hai
palna hilati hai
Nazm
Nind
Ali Sardar Jafri