nifaq se KHuda bachae rog ye shadid hai
bala-e-jaan aadmi nishan-e-buz-dili hai ye
zawal-e-admi hai ye wabaal-e-admi hai ye
agar kahun durust hai ki marg-e-admi hai ye
ye gandagi ka Dher hai ghilaf mein Dhaka chhupa
ye KHaufnak zahr hai miThas mein mila-jula
waba-e-haul-nak hai bala-e-haul-nak hai
ye chalti phirti aag hai dayar o mulk o shahr mein
nifaq se KHuda bachae rog ye KHabis hai
libas-e-jism-e-admi mein koDh hai chhupa hua
munafiqon ki KHaslaten ajib hain gharib hain
zaban pe kuchh hai dil mein kuchh kahenge kuchh karenge kuchh
zaban pe dosti ka rag aastin mein chhuri
dilon mein bughz hai bhara magar labon pe hai hansi
zaban par KHuda ki raT dilon mein fikr-e-shaitanat
ye apne aap hain KHuda gharaz ko pujte hain ye
ye nafs ke ghulam hain mafad ke ghulam hain
ye apne aap muqtadi ye apne KHud imam hain

Nazm
Nifaq
Urooj Qadri