wo sab parinde jo uD ke jate hain faslon mein 
kahin bahut dur faslon mein 
so un ke bare mein ye to sab jaante hain, aaKHir kahin koi ek ya 
dusri jagah aisi aa hi jati hai, wo jahan thak ke baiTh jaen 
wo koi mastul ya koi banjar chaTTan hoti hai jis ko pa kar wo sochte hain 
ki ye bhi kuchh kam nahin bahut hai, 
magar bhala kaun is haqiqat ko jaan kar ye guman karega ki un se aage 
wahan kushada faza nahin, ya wo ek aisa maqam hai, jis se aage 
parwaz ka kisi tarah koi imkan hi nahin hai 
hamare sare azim ustad aur sab pesh-rau bhi aaKHir kahin pahunch kar 
Thahar gae the 
so aisa hi mere sath hoga 
so aisa hi tere sath hoga 
nae parinde to aage hi jaenge 
magar han 
yahi basirat yahi yaqin hum mein aur un mein muqable ka sabab hai 
jo hum se aur hamari salahiyat se buland ho kar faza ki wusat mein dekhta hai 
ki kuchh parinde hain hum se baDh kar jawan tawana 
aur un tawana jawan parindon ke ghol koshan hain aaj bhi us jagah 
jahan par hum apni sari salahiyat aazma chuke hain 
jahan har ek chiz hai samundar 
jahan har ek chiz hai samundar 
hum ab kahan jaen 
ye samundar 
batao kya hum ise kabhi par kar sakenge 
ye aarzu ab kahan hamein le ke ja rahi hai 
usi taraf kyun 
ki jis taraf jaane wale insaniyat ke sabab jagmagate KHurshid 
chhup gae hain 
kabhi hamare liye bhi shayad yahi kaha jaega kisi din 
ki hum ne maghrib ki samt gahre samundaron mein safar kiya tha 
umid ye thi ki hum ko mashriq mein ek nai sarzamin milegi 
magar muqaddar ye tha ki ai dost 
be-karani se ja ke Takraen aur hum pash pash ho jaen 
ya mere dost shayad
        Nazm
Nietzsche ne kaha
Rais Farogh

