ek to KHwab Daraate hain mujhe
dhup mein zard daraKHton pe khile kale phul
pahle pani tha jahan dhul wahan uDti hai
main ne aurat ko nahin dekha tha
us ka paigham mila barish mein
wo mere pas jab aai thi to main tanha tha
aur is pahli mulaqat ki hairani mein
aaj bhi gharq hun main
log jis wahm mein hain main bhi hun
hai magar us ko mohabbat mujh se
warna kyun KHwab Daraate hain mujhe
dhup mein jhulsi hui saDkon par
ab nahin chalne ka yara mujh mein
raat din saDkon pe aawara phira karta tha
aur itna bhi na socha tha kabhi
kis se milne ki tamanna mein thi wo bechaini
jab se dekha hai use chaaron taraf
ek KHamoshi ka manzar hai sakun tari hai
sirf itna hai ki ab KHwab Daraate hain mujhe
pahle duniya mein kahin KHauf na tha
KHwahishen jagin to ye KHauf bhi bedar hue
dhup nikli to nazar aane lage phul hi phul
an-ginat raste aurat ne dikhae mujh ko
shahr ki jalti jhulasti hui saDkon se alag
raste jin pe mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
us ki aawaz hawaon ki jagah
us ki aawaz parindon ki jagah
us ki aawaz sitaron ki jagah
aasman wo hai samundar wo hai
kuchh bhi maujud nahin us ki mohabbat ke siwa
jab use dekhta hun mujh ko nazar aate hain
saikaDon chand hazaron suraj
har taraf raushniyan raushniyan raushniyan
zindagi pahle kabhi aisi dil-awez na thi
ek ek lamha hai sadiyon ka safar
kabhi jangal mein kabhi parbat par
kabhi sahraon mein
kabhi viran KHalaon ka safar
waqt ki wusaten Thahre hue ek lamhe mein
qaid hain lamha magar phailta hi jata hai
aur ab KHwab Daraate hain mujhe
aur main sochta hun
jaane kis KHwab mein kis KHwab ne kis KHwab ko dekha hoga
log jis wahm mein hain main bhi hun
ek aurat ka KHayal
Nazm
Nazm
Zahid Dar