koi saKHt phal kaTte hue
us ne apne KHwab mein
apni ungli kaT li
jism se alahida ho jaane wali ungli ne
ret par lakiren banana shurua kar din
kuchh adhure nuqush ubhaare
phir wo ek laKHt bhaDak uThi
sabz surKH aur dudhiya raushni nikalne ke baad
ye ungli rakh mein tabdil ho gai
rakh se phuTne laga
ek nanha sa pauda
us ki nazuk pattiyon par yun guman hota tha
goya shaKHon se nazuk nazuk si ungliyan nikal rahi hon
ye sab kuchh mahz ek KHwab tha
KHwab se jagne ke baad
wo sanjidgi se us KHwab ke bare mein sochta raha
phir hans diya
us ne apni hatheli thapthapai
Thik us jagah
jahan us ki ungli KHwab mein alahida ho gai thi
wahan ungli hi na thi
us ka sara badan dhundlane laga
sath hi
us paude ke nuqush wazeh hone lage
jis ki nazuk shaKHon mein
nazuk nazuk ungliyan nikal rahi thin
Nazm
Nazm
Saeeduddin