ghar se office jate hue
main roz saDak ke daen baen
daraKHton ko ginta hua chalta hun
hamesha gine hue daraKHton ki tadad muKHtalif hoti hai
kabhi do sau bis
kabhi tin sau gyarah
kabhi kabhi to daraKHton ki tadad itni baDh jati hai
ki mujhe guzishta din ke aadad o shumar par
shak hone lagta hai
par ek din pata chala
raste ke daraKHt aadhe bhi nahin rahe
kya aadhe daraKHt kaT diye gae hain
lekin agle roz daraKHton ki tadad itni thi
ki mera KHud par se e'timad uTh gaya
mujhe yun laga
jaise kuchh daraKHt mujhe dekh kar
idhar udhar ho jate hain
kuchh dusre daraKHton ke pichhe chhup jate hain
kuchh daraKHt raaton raat is liye ug aate hain
ki mujhe hairan kar den
aur kuchh is liye ghaeb ho jate hain
ki mera KHud par se e'timad hi jata rahe
lekin ye baat bhi ek din ghalat sabit ho gai
mere ghar se daftar tak ke raste mein
koi daraKHt tha hi nahin
ye mujhe kai logon ne bataya
dusre kai logon ne is baat ki tasdiq ki
kuchh ne ye manne tak se inkar kar diya
ki is raste par kabhi koi daraKHt bhi tha
us roz jab main udas aur ghamgin
office se ghar lauT raha tha
mere raste ke donon jaanib
daraKHt saDak par niche tak jhuk aae the
har ghar ki chaar diwari ke upar se
ek na ek daraKHt jhank raha tha
gharon ki balconiyon
aur chhaton par ug aae the daraKHt
kuchh daraKHt to ulTe hi khaDe the
kuchh aadhe diwaron mein
aur aadhe diwaron ke shagafon se
bahar nikal kar
saDak ko yun tak rahe the
jaise rahgiron ko gin rahe hon
Nazm
Nazm
Saeeduddin