mashkize ka pani usi ret par Dal do
aur nange panw mere pichhe chale aao
main ne sara pani ret par gira diya
aur nange panw us ke pichhe ho liya
kai sahra hum ne ubur kar Dale
zahrile kanTon aur zahrile kiDon par panw rakhte hue
hum aage baDhte rahe
achanak mujhe mahsus hua
ki main to sahra mein akela hi chala ja raha hun
to kya us ne mere sath dhoka kiya?
main to sahra ke bich samt ka tayyun karne se bhi qasir tha
wo chand qadam aage hi to tha mujh se
phir wo achanak jaane kis bil mein chhup gaya
main ne use bahut pukara
lekin meri aawaz to sahra mein aise bikhar kar rah gai
jaise mere mashkize ka pani
ret mein jazb ho gaya tha
jab tum sahra mein apna mashkiza chhoD aae
jab tum ek sanp ke sath ho liye
aur tumhein pata hi na chala ki wo kis bil mein ja chhupa hai
to tumhaare pair ragaDne se
sahra mein chashma to ubalne se raha
mere mashkize mein pani nahin tha
mere panw nange the
mujhe kisi manzil ka pata nahin tha
aur kisi samt ka tayyun tak karne se
main qasir tha
mere pas bas ek hi rasta rah gaya tha
so main ne apne panw se kanTa nikala
aur ret mein bo diya
chand ghanTon mein wo ek saya-dar daraKHt mein tabdil ho gaya
aur us mein ajib o gharib phal paida ho gae
main zahrile
aur ghair zahrile phalon mein tamiz nahin kar sakta tha
aur mere liye
koi mann o salwa bhi aasman se utarta nahin tha
so main ne in phalon ko raghbat se khaya
itne mein sham ho gai
aur sahra ki tariki mein
sahra ke zahrile kiDe makoDe
apne bilon se nikal kar mere badan se chimaT gae
kursi par nim-daraaz ho jata hai
hum donon
koi baat nahin karte
na cigarette jalane ke liye
ek dusre ko lighter pesh karte hain
us ka bas chale to wo mujhe halak kar de
mere bhi us ke bare mein
yahi kuchh jazbaat hain
is ke bawajud
jab bhi main use bulata hun
wo aa jata hai
mere bulawe mein na israr hota hai
na dhamki
na koi shart
ye wo bhi jaanta hai
mere bulawe mein
kisi KHwahish ki ramaq nahin
hum donon
kisi bhi din
apne qarib tarin sutun ki oT le kar
ek dusre ko nishana banane ki koshish kar sakte hain
lekin
zinda bachne wale ke muqable mein
mar jaane wala
ziyaada KHush-nasib sabit hoga
bachne wale ko
halak hone wale ka jism
uTha kar chalna hoga
us ke KHun aalud kapDe utar kar
use saf suthre kapDe pahnane honge
marne wale ki lash ko
kisi bhi qism ke KHurdbini kiDon se
mahfuz rakhne ke liye
jatan karna honge
phir us ki lash ko
sahaara de kar
kisi aaram-dah kursi par baiThana hoga
us ke munh se cigarette lagana hoga
use lighter bhi pesh karna hoga
balki us ki maut ko
apni maut samajhte hue
do qabren
barabar khodni hongi
basen aur karen un ke qarib aa kar
daraKHton ko chhuti hain
aur unhen
saDak ke daen ya baen haTane mein juT jati hain
lekin usi dauran
sharab ki bu unhen bhi
bad-mast kar deti hai
wo bhi saDak ke bichon-bich nachne lagti hain
phir to bal khati saDak bhi
uTh khaDi hoti hai
aur Thumke lagane lagti hai
ghar tharthara uThte hain
un mein soe hue makin
haDbaDa kar jag jate hain
unhen apni aankhon par yaqin nahin aata
sharabi daraKHton
nashe mein dhut bason, karon
aur bad-mast nachti saDak ko
shahr mein basne wale logon ki
koi parwa nahin
ye dekh kar
aadmi ka nasha
hiran ho jata hai
Nazm
Nazm
Saeeduddin