KHazanon ko tum DhunDne par musir ho
Tapakta hai KHun naKHunon se aur aankhon se
khoi hui nind ki talKH surKHi
ye kheton ki jiti jaDen kaTte phawDe aur kudalen
main KHud maut ke hath jis ke tamasKHur
se tum be-KHabar ho
hatheli par umr aur dil ki lakiron mein aTke
ye maddham se zarre ki jin mein abhi tak tumhaare
ab wajd ki miTTi
ki ek jhilmilati kiran kitne zarKHez wadon
ke din-raat tajti hui is ghaDi
qaid mein hai
tumhaari tarah wo KHazanon pe baiThe hue sanp
taza lahu pi ke phir se kisi khoe nashe
ki jannat mein ghulne
KHayali azabon mein jalne ki hairat se goya
sarapa zar-o-sim ki yaKH salaKHen aur aankhen
bilor aur hire
KHazane to sab KHak mein mil chuke hain
hawa aur hawas ke purane Thikanon pe ab nau-ba-nau
phul hasrat ke dekho
ye miTTi ki chup hai bas us ke dafine
baras ke baras chaar din phul patton ki lila
ye miTTi tumhein DhunDti hai
Nazm
Nazm
Mohammad Saleemur Rahman