nazm bahut aasan thi pahle
ghar ke aage
pipal ki shaKHon se uchhal ke
aate jate
bachchon ke baston se nikal ke
rang-ba-rangi
chiDiyon ki chahkar mein Dhal ke
nazm mere ghar jab aati thi
mere qalam se, jaldi jaldi
KHud ko pura likh jati hai
ab sab manzar
badal chuke hain
chhoTe chhoTe chaurahon se
chauDe raste nikal chuke hain
nae nae bazar
purane gali mohalle nigal chuke hain
nazm se mujh tak
ab koson lambi duri hai
in koson lambi duri mein
kahin achanak
bam phaTte hain
kokh mein maon ke
sote bachche kaTte hain
mazhab aur siyasat
donon
nae nae nare raTte hain
bahut se shahron
bahut se mulkon se
ab chal kar
nazm mere ghar jab aati hai
itni ziyaada thak jati hai
mere likhne ki Table par
KHali kaghaz ko
KHali hi chhoD ke ruKHsat ho jati hai
aur kisi footpath pe ja kar
shahr ke sab se buDhe shahri ki
palkon par!
aansu ban kar so jati hai
Nazm
Nazm bahut aasan thi pahle
Nida Fazli