sham Dhale to
milon phaili KHushbu KHushbu ghas mein raste
aap bhaTakne lagte hain
zulf khule to
mang ka sandal shauq-e-talab mein
aap sulagne lagta hai
sham Dhale to
zulf khule to lafzon! un raston par jugnu ban kar uDna
rah dikhana
din nikle to taza dhup ki chamkili poshak pahan kar
mere sath gali-kuchon mein
lafzon! manzil manzil chalna
hum duniya ko harf o sada ki raushan shaklen
phul se taza ahd aur paiman dikhlaenge
diwaron se gulzaron tak
tanhai ki fasl ugi hai
din nikle to dard-e-rifaqat
hum sab mein taqsim karenge
Nazm
Nazm
Akhtar Husain Jafri