kitni rangin hai faza kitni hasin hai duniya
kitna sarshaar hai zauq-e-chaman-arai aaj
is saliqe se sajai gai bazm-e-giti
tu bhi diwar-e-ajanta se utar aai aaj
ru-numai ki ye saat ye tahi-dasti-e-shauq
na chura sakta hun aankhen na mila sakta hun
pyar saughat, wafa nazr, mohabbat tohfa
yahi daulat tere qadmon pe luTa sakta hun
kab se taKHil mein larzan tha ye nazuk paikar
kab se KHwabon mein machalti thi jawani teri
mere afsane ka unwan bani jati hai
Dhal ke sanche mein haqiqat ke kahani teri
marhale jhel ke nikhra hai mazaq-e-taKHliq
sai-e-paiham ne diye hain ye KHad-o-KHal tujhe
zindagi chalti rahi kanTon pe, angaron par
jab mili itni hasin, itni subuk chaal tujhe
tere qamat mein hai insan ki bulandi ka waqar
duKHatar-e-shahr hai, tahzib ka shahkar hai tu
ab na jhapkegi palak, ab na haTengi nazren
husn ka mere liye aaKHiri mear hai tu
ye tera paikar-e-simin, ye gulabi sari
dast-e-mehnat ne shafaq ban ke uDha di tujh ko
jis se mahrum hai fitrat ka jamal-e-rangin
tarbiyat ne wo latafat bhi sikha di tujh ko
aagahi ne teri baaton mein khilain kaliyan
ilm ne shakkarin lahje mein nichoDe angur
dilrubai ka ye andaz kise aata tha
tu hai jis sans mein nazdik usi sans mein dur
ye latafat, ye nazakat, ye haya, ye shoKHi
sau diye julte hain umDi hui zulmat ke KHilaf
lab-e-shadab pe chhalki hui gulnar hansi
ek baghawat hai ye aain-e-jarahat ke KHilaf
hausle jag uThe soz-e-yaqin jag uTha
nigah-e-naz ke be-nam ishaaron ko salam
tu jahan rahti hai us arz-e-hasin par sajda
jin mein tu milti hai un rah-guzaron ko salam
aa qarib aa ki ye juDa main pareshan kar dun
tishna-kaami ko ghaTaon ka payam aa jae
jis ke mathe se ubharti hain hazaron subhen
meri duniya mein bhi aisi koi sham aa jae
Nazm
Naya husn
Kaifi Azmi