safed kaghaz pila paD chuka hai
aur ibarat dhundli ho gai hai
jild udhaD chuki hai
ise likhne wala mar gaya hai
aasar-e-qadima ke maherin
aur zabanon ke mohaqqiqin
is natije par pahunche hain
ye kitab kisi murda zaban mein likhi gai hai
jo ab zamin ke kisi KHitte mein boli ya samajhti nahin jati
raat ke kisi pahar aasar-e-qadima ke ek mahir ki aankh khul jati hai
wo lakDi ke wazni sanduq se kitab nikalta hai
bosida sar-waraq par musannif ki jagah us ka nam likha hai
kitab kisi baadshah ke nam manun ki gai hai
pahle safhe par sarkari KHazane ka hisab hai
dusre safhe par purohit ke jari karda ibaadat ke ahkaam
tisre safhe par un mujrmon ke nam hain
jinhen ek manhus dua ke jurm mein
dusre din salib par chaDhaya jaana tha
us ke baad kuchh sada safhat hain
shayad kitab ka musannif bhi mar diya gaya
is ki tasdiq aage ki in duaon se hoti hai
jo mare huon ki maghfirat ke liye sarkari purohiton ne mangen
aur jo badli hui tahrir mein thin
kitab ke aaKHiri safhe par
baadshah ki maut ki KHabar thi
aur is ke niche ek manhus dua
jise aasar-e-qadima ke mahir ne fauran pahchan liya
Nazm
Naya frame
Saeeduddin