nuzul-e-itab ki ghaDi
nazdik haiâ¦â¦
darbari kutte!
ru-posh baghiyon ki talash mein
zaminen sunghte phir rahe hain
sarbarahon ki quwwat-e-faisla jawab de chuki hai
un ke mafluj hath
darbariyon ke rachae shaDyantaron par
kyun dastaKHat karne ki mashinen hain
un ki zabanen sirf dhamkiyan bolti hain
un ke ana-parast kan
giDgiDhaTen sunne ke aadi ho chuke hain
mushiron aur salah-karon ka dawa hai
ki wo jald hi sarbarahon ko
dast-KHaton ki zahmat se bhi najat dilane ka rasta DhunD nikalenge!
Nazm
Najat
Aashufta Changezi