ye maujuda tariqe rahi-e-mulk-e-adam honge
nai tahzib hogi aur nae saman baham honge
nae unwan se zinat dikhaenge hasin apni
na aisa pech zulfon mein na gesu mein ye KHam honge
na KHatunon mein rah jaegi parde ki ye pabandi
na ghunghaT is tarah se hajib-e-ru-e-sanam honge
badal jaega andaz-e-tabae daur-e-gardun se
nai surat ki KHushiyan aur nae asbab-e-gham honge
na paida hogi KHat-e-nasKH se shan-e-adab-agin
na nastaliq harf is taur se zeb-e-raqam honge
KHabar deti hai tahrik-e-hawa tabdil-e-mausam ki
khilenge aur hi gul zamzame bulbul ke kam honge
aqaed par qayamat aaegi tarmim-e-millat se
naya kaba banega maghribi putle sanam honge
bahut honge mughanni naghma-e-taqlid europe ke
magar bejoD honge is liye be-tal-o-sam honge
hamari istelahon se zaban na-ashna hogi
lughat-e-maghribi bazar ki bhasha se zam honge
badal jaega meyar-e-sharafat chashm-e-duniya mein
ziyaada the jo apne zoam mein wo sab se kam honge
guzishta azmaton ke tazkire bhi rah na jaenge
kitabon hi mein dafn afsana-e-jah-o-hasham honge
kisi ko is taghayyur ka na his hoga na gham hoga
hue jis saz se paida usi ke zer-o-bam honge
tumhein is inqilab-e-dahr ka kya gham hai ai 'akbar'
bahut nazdik hain wo din ki tum hoge na hum honge
Nazm
Nai tahzib
Akbar Allahabadi