taKHayyul ki unchi uDanon se aage
jahan KHwab TuTe paDe hain
meri aarzu thi wahan ja ke dekhun
rafiqon raqibon ke chehre
meri har baghawat pe hanste rahe hain
main raftar ke daere toD kar
KHuda se pare ja chuka hun
farishton ki pahli baghawat ka manzar mujhe yaad aaya
kuchh aisa laga jaise aadam ka sara alamiya
nai justuju ke sahaare hamesha rahega
har ek bar baghi nae ban ke
wo dastan phir se dohra rahe hain
KHud iblis hairan hai
KHair o shar ki nai kashmakash mein ulajh kar har ek bar ye sochta hai
KHudaya! main mazlum hun
meri fitrat mein jo sar-kashi thi wo aadam se thi
tera banda hun aajiz hun tu rahm kar
dekh ek muddat se aadam ke beTe
tujhe aur mujhe bhul kar
sirf be-nam be-sud se justuju ke sahaare baDhe ja rahe hain
unhen teri rahmat tera qahr kuchh bhi Daraata nahin
mujhe aaj pahli dafa Dar laga hai
kahin ye mujhe aur tujhe qaid kar ke
sirf taKHliq ke jurm mein wo saza den
jis ko lakhon baras se ye sahte chale aa rahe hain!
Nazm
Nai justuju ka alamiya
Baqar Mehdi