qaum ne paigham-e-gautam ki zara parwa na ki
qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki
aah bad-qismat rahe aawaz-e-haq se be-KHabar
ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar
aashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha
hind ko lekin KHayali falsafa par naz tha
sham-e-haq se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi
barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi
aah shudar ke liye hindostan gham-KHana hai
dard-e-insani se is basti ka dil begana hai
barhaman sarshaar hai ab tak mai-e-pindar mein
sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar mein
but-kada phir baad muddat ke magar raushan hua
nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua
phir uThi aaKHir sada tauhid ki punjab se
hind ko ek mard-e-kaamil ne jagaya KHwab se
Nazm
Nanak
Allama Iqbal