اردو हिंदी
Mushaera | Shaahi Shayari
mushaera

Nazm

Mushaera

Syed Mohammad Jafri

;

mushaere mein jo shaer bulae jate hain
baDe saliqe se budam banae jate hain

wasul hote hain pahle ye nama-o-paigham
ki ai shahanshah-e-aqlim-e-'hafiz'-o-'KHayyam'

hamari bazm-e-adab ka hai jashn-e-salana
jali hai sham-e-suKHan raqs mein hai parwana

ghaTa jo sheron ki chaaron taraf se aai hai
wo film ke bhi sitare sameT lai hai

guzishta sal suna jis ne aap ko ye kaha
na shoale mein ye karishma, na barq mein ada

aur ab ke sal bhi KHud dekh lenge ye sarkar
ki gunjte hain aqidat se kucha-o-bazar

rawana kar den kirae ki gar zarurat hai
wo aaen ghar mein hamare KHuda ki qudrat hai

hamare shahr mein urdu adab ka danggal hai
ye shahar sher ka aur shaeron ka jangal hai

ab is pe shaer-e-shirin-nawa ko hai ye guman
ki mere shoale se raushan hui hai shama-e-bayan

idhar se muntazim ek soch aur bichaar mein hai
use KHabar hai ki shaer kis intizar mein hai

bulane ke liye israr bhi wo karta hai
kiraya le ki na phir aae is se Darta hai

bana ke likhta hai dawat ka is tarah maktub
mushaere mein diya jaega jo hai matlub

gharaz bulate hain wo shaeron ko hile se
payam aate hain ahbab ke wasile se

jo sher sunne ko apne gharon se aate hain
wo sab baTer laDane ka lutf uThate hain

wo jaante hain ki shaer hai ek murgh-e-ajib
agar gala hai to shaer, nahin gala to adib

ye sochta hai chalo qismat aazma dekhen
suluk hota hai auron ke sath kya dekhen

bahut se aur bhi shaer wahan par aaenge
chalo ki marg-e-raqiban ka lutf uThaenge

hain kuchh pale hue shaer kuchh in mein KHud-raw hain
purane ghag hain kuchh in mein shaer-e-nau hain

wo didani hai agar ho kuchh in mein hangama
ki is akhaDe ka har pahlwan hai allama

satate rahte hain shaer ko aise andeshe
yahan talak ki nikal aaen rishte aur reshe

talluqat se aaKHir ko ho ke wo majbur
mushaere ko chala jaise kaam par mazdur

kisi se qarz liya aur kisi ki minnat ki
gharaz ki shaer-e-atish-nawa ne rahlat ki

phansa hai is liye phande mein shaer-e-sada
ki muntazim bhi the hushiyar ye bhi aamada

wo aa gaya hai uTha kar hazar dushwari
chale jilau mein use le ke us ke darbari

kisi ke hath mein pan aur kisi ke hath mein haar
har ek ye kahta hai zahmat bahut hui sarkar

mushaere mein qadam-ranja aap farmaen
to ahl-e-zauq nashiston mein aa ke bhar jaen

taDap rahe the jo sunne ke waste ashaar
mushaere ke liye un ke pas hain darkar

ticket KHarid ke jo ahl-e-zauq aae hain
wo aaKHiri safon mein KHud-baKHud samae hain

moazzezin jo zauq-e-adab se KHali hain
reserwe un ke liye agli saf kara li hain

ye is liye ki nazar mein wo aap ki bhi rahen
jo sher wo na samajh paen aap wo na paDhen

mushaere mein KHwatin bunti hain sweater
sambhal ke baiThe hain shaer ki tak mein hooter

paDha mushaera shaer ne ehtimam ke sath
ghazal sunai tarannum ki dhum-dham ke sath

kisi ne wah kaha aur kisi ne huT kiya
mushaere ko ye samjha ki main ne luT liya

isi pe phula hua hai wah-wah hui
tamam raat kaTi nind bhi tabah hui

ye mahfil aa hi gai roz-o-shab ki sarhad par
janab-e-sadr bhi ab so chuke hain masnad par

jo samain hain un par bhi nind tari hai
sawari us ko mili jis pe fazl-e-bari hai

jo muntazim the sitaron ke sath Dub gae
gae wo shaeron se chhup ke aur KHub gae

numud-e-subh se jab muntashir hui mahfil
akela rah gaya shaer gharib-e-shahr o KHajil

mushaera ba-juz andaz-e-haw-hu kya hai
tumhaare shahar mein 'ghaalib' ki aabru kya hai