mere watan teri KHidmat mein le kar aaya hun
jagah jagah ke tilismat des des ke rang
purane zehn ki rakh aur nae dilon ki umang
na dekh aisi nigahon se mere KHali hath
na yun ho meri tahi-damani se sharminda
base hue hain mere dil mein saikDon tohfe
bahut se gham kai KHushiyan kai anokhe log
kahin se kaif hi kaif aur kahin se dard hi dard
jinhen uTha nahin sakta har ek dasht-naward
jo thailiyon ke shikam mein sama nahin sakte
jo suitcase ki jebon mein aa nahin sakte
bichhaD ke tujh se kai ajnabi dayaron ne
mujhe gale se lagaya mujhe tasalli di
mujhe batae shab-e-tira-o-siyah ke raaz
mere badan ko sikhae hazar istilzaz
kuchh is tarah mere pahlu mein aae zohra-o-shams
main muddaton yahi samjha kiya ki jism ka lams
azal se ta-ba-abad ek hi masarrat hai
ki sab fareb hai mera badan haqiqat hai
aur is tarah bhi hua hai ki meri tanhai
samundaron se lipaT kar hawa se Takra kar
kabhi sameT ke mujh ko nae jaziron mein
kabhi pahaD ke jharne ki tarah bikhra kar
kabhi biTha ke mujhe aasman ke dosh-ba-dosh
kabhi zamin ki tahon mein jaDon mein phaila kar
kuchh is tarah mere ehsas mein samai hai
ki mujh ko zat se bahar nikal lai hai
kuchh aisa KHwab sa na-KHwabiyan si tari thin
badan to kya mujhe parchhaiyan bhi bhaari thin
mere dayar kahan the tere tamashai
ki didani tha mera jashn-e-abla-pai
kuchh aise dost mile shahr-e-ghair mein ki mujhe
kai farishta-nafas dushmanon ki yaad aai
main sochta hun ki kam honge aise diwane
na koi qadr ho jin ki na koi ruswai
mujhe bujha na saki yaKH-zada hawa-e-shumal
mujhe Dubo na saki qulzumon ki gahrai
na jaane kaisa kurah tha mera wajud ki rose
mere qarib zamin ghumti hui aai
talash karte hue gum-shuda KHazanon ko
bahut se misr ke firaun maqbaron mein mile
zaban-e-sang mein jo ham-kalam hote hain
kuchh aise log purane musass mein mile
buland-baam kalisa mein the wahi fankar
jo KHasta-haal masajid ke gumbadon mein mile
mari thaki hui KHwabidgi se nalan the
wo rat-jage jo masail ki karwaTon mein mile
kai suragh nazar aae dastanon mein
kai charagh kitabon ke hashiyon mein mile
suna ke apne uruj-o-zawal ke qisse
sabhi ne mujh se mera rang-e-dastan puchha
dikha ke barf ke mausam mere buzurgon ne
mizaj-e-sholgi-e-asr-e-naujawan puchha
meri jhuki hui aankhen talash karti rahen
koi zamir ka lahja koi usul ki baat
guzar gai meri palkon pe jagti hui raat
nadamaton ka pasina jabin pe phuT gaya
meri zaban pe tera nam aa ke TuT gaya
qubul kar ye nadamat ki is pasine ki
har ek bund mein chingariyon ke sanche hain
qubul kar mere chehre ki jhurriyan jin mein
kahin junun kahin tahzib ke tamanche hain
sambhaal mera subuk hadiya-e-gham-e-idrak
jo mujh ko sat samundar ka zahr pi ke mila
saqafaton ke har aatish-fishan mein ji ke mila
talab kiya mujhe yunan ke KHudaon ne
janam liya mere sine mein dewtaon ne
fareb-o-hirs ke har raste se moD diya
aur is ke baad super market pe chhoD diya
jahan bas ek hi mear-e-adamiyat tha
hujum-e-mard-o-zanan mahw-sair-e-wahshat tha
ghaDi ka husn nae radio ki zebai
plastic ke kanwal nylon ki tie
italiya ke nae boot hong-kong ke haar
crisler ki nai range, tokyo ke singar
har ek jism ko aasudgi ki KHwahish thi
har ek aankh mein asbab ki parastish thi
ye inhimak qayaadat mein bhi nahin milta
ye su-e-nafs-e-ibaadat mein bhi nahin milta
mere watan mere saman mein to kuchh bhi nahin
bas ek KHwab hai aur KHwab ki fasilen hain
qubul kar meri maili qamiz ka tohfa
ki is ki KHak mein sajdon ki sar-zaminen hain
na dhul sakega ye daman ki us ke sine par
'biyafra' ke muqaddas lahu ke chhinTen hain
ye wietnam ki miTTi hai jis ke zarron mein
payambaron ki damakti hui jabinen hain
Nazm
Musafir
Mustafa Zaidi