sukut-e-shab ki hai jalwa-faroshi
hai maujudat par chhai KHamoshi
faza-e-sham ko nind aa rahi hai
manazir par siyahi chha rahi hai
hai badla rang din ke shor-o-shar ka
hua tarikiyon ka daur-daura
ruka hangama-ha-e-din ka mahshar
baDha shab ka sakun-bar-dosh manzar
hai aaKHir roz-e-raushan ki kahani
hui tarik burd-e-asmani
gaya rahat-kade mein mahr-e-taban
hue anwar aatish-bar-e-pinhan
hai tariki payam-e-KHwab-noshin
KHamoshi hai nawed-e-rang-e-taskin
faza-e-gharb hai paigham-e-rahat
ufaq ki KHamushi ilham-e-rahat
hai rangini faza ki kaif ishrat
shafaq ki surKHiyan saman-e-farhat
hawaon mein bhare hain naghma-e-shab
hai rahat-za rabab-e-zaKHm-e-shab
hua raushan nigar-e-shab ka jalwa
hain tanwiren falak par kar-farma
sitaron ki tabassum-bariyon mein
kawakib ki munawwar dhaariyon mein
sutur-e-kahkashan ki laghzishon mein
surayya ki majalla tabishon mein
faza-e-sim aara-e-falak mein
ufuq ki raushan-o-zarrin jhalak mein
ziya-afroz hai mah-e-daraKHshan
labon ki tabishen hain KHanda-afshan
faza-e-asmani rah-guzar hai
musafir raat ka garm-e-safar hai
siyahi shab ki hai hamraaz-o-hamdam
sukut-e-sham hai dam-saz o mahram
hai tanhai se rasm-e-ashnai
KHayal-e-ma-siwa se be-niyazi
safar ki kaifiyat madd-e-nazar hai
ki taKHil-e-safar lutf-e-safar hai
KHabar hi kuchh nahin hadd-e-safar ki
na kuchh parwah tul-e-rah-guzar ki
KHamosh o mutmain hai jada-paima
jabin par istaqamat jalwa-farma
sukut-e-shab mein jo yun sargiran hai
mah-e-kaamil teri manzil kahan hai
teri rahbar ufaq ki KHamushi hai
anis o ham-safar ek chandni hai
kamal-e-zist teri justuju hai
ye tarz-e-sai hadd-e-abru hai
sabaq-amoz teri dastan hai
tujhe hasil kamal-e-kaamran hai
teri sai-e-amal la-intiha hai
abad tak is safar ka silsila hai
Nazm
Musafir-e-shab
Raabia Pinhan