musafir yunhi git gae chala ja
sar-e-rahguzar kuchh sunae chala ja
teri zindagi soz-o-saz-e-mohabbat
hansae chala ja rulae chala ja
tere zamzame hain KHunuk bhi tapan bhi
lagae chala ja bujhae chala ja
koi lakh roke koi lakh Toke
qadam apne aage baDhae chala ja
hasin bhi tujhe raste mein milenge
nazar mat mila muskurae chala ja
mohabbat ke naqshe tamanna ke KHake
banae chala ja miTae chala ja
qadamat haden khinchti hi rahegi
qadamat ki buniyaad Dhae chala ja
qasam shauq ki fitrat-e-muztarib ki
yunhi nit-nai dhun mein gae chala ja
jo parcham uTha hi liya sar-kashi ka!
use aasman tak uDae chala ja
Nazm
Musafir
Asrar-ul-Haq Majaz