garajti
TuT kar girti ghaTaen
aasmanon se musalsal sang-bari
nauhagar diwar-o-dar
zaKHmi chhaten
shishon pe pani qatra qatra phailta baDhta
phisalti TuTti nannhi lakiren
jo thake hathon ki rekhaon ki surat
nit-nirale rup bharti hain
KHala dil ka zara si der bhi KHali nahin hota
use jo bhi mayassar ho wo bhar leta hai sine mein
tamanna phir tamanna hai
wo chahe maut hi ki ho
wahi dukhti ragon mein KHun ke tufan thapeDe
phir wahi shishon pe baDhte phailte jale
paron ki aaKHiri be-jaan si
ek phaDphaDahaT ke siwa kya hain
ye fariyaad-o-fughan nale
mujhe malum hai jab waqt bahta hai
to phir maujon mein kab wo farq karta hai
wo chahe pur-sukun hon
ya kisi sahil se apne sar ko Takraen
sisakti rengti guzrin
taDap kar ret mein KHud jazb ho jaen
wo chahen kuchh karen
kya farq paDta hai
phisalti TuTti nannhi lakiren
daraazon se nikal kar farsh tak aane lagin lekin
wo kitni dur tak yun reng sakti hain
dilase reshmi paigham KHwab-aluda tamannaen
bhala is sang-bari ki sipar kaise banengi
hazaron kaenaten TuTti banti hain har lahza
tanawar peD girte hain
chaTanen reza reza ho ke nas nas mein khaTakti hain
dariche pai-ba-pai barsat ke hamlon se andhe hain
faza gungi hai bahri hai
chalo ye zindagi aur maut donon aaj se mere nahin hain
meri aankhon ki binai
zaban ki tab-e-goyai
samaat lams sab kuchh aaj se mere nahin hain
chalo main bhi tamashai hun KHud apne jahannam ka
meri duniya tamasha hai
main apne samne KHud ko taDapta sar paTakta dekh sakta hun
aur aisa mutmain hun aaj jaise ye janam mujh ko
abhi kuchh der pahle hi mila hai
aur kisi an-jaani duniya se
baraste baadalon ke sath aaya hun
Nazm
Mukti
Qazi Saleem