mujhe mat batana
ki tum ne mujhe chhoDne ka irada kiya tha
to kyun
aur kis wajh se
abhi to tumhaare bichhaDne ka dukh bhi nahin kam hua
abhi to main
baaton ke wadon ke shahr-e-tilismat mein
aankh par KHush-gumani ki paTTi liye
tum ko peDon ke pichhe daraKHton ke jhunD
aur diwar ki pusht par DhunDne mein magan hun
kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhaari mahak
mujh pe hansne mein masruf hai
abhi tak tumhaari hansi se nabard-azma hun
aur is jang mein
mera hathiyar
apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin
use kund karne ki koshish na karna
mujhe mat batana
Nazm
Mujhe mat batana
Parveen Shakir