main jaise dard ka mausam
ghaTa ban kar jo bas jata hai aankhon mein
dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna le ke jis manzar talak jaun
siyah ashkon ke gahre kohr mein Duba hua paun
mein apne dil ka sona
pyar ke moti
tarasti aarzu ke phul jis dar par sajata hun
wahan jaise makin hota nahin koi
bana hun ek muddat se sada-e-bazgasht aisi
jo diwaron se Takrae
hirasan ho ke lauT aae
dhaDakte dil ke sune-pan ko suna aur kar jae
main apne aap ko sunta hun
apne aap ko chhuta hun
apne aap se milta hun KHwabon ke suhane aaina-ghar mein
to mera aks mujh par muskuraata hai
ye kahta hai
saliqa tujh ko jine ka na aana tha nahin aaya
sadaen pattharon ki tarah mujh par
mere KHwabon ke bikharte aaina-ghar par barasti hain
udhar tara idhar jugnu
kahin ek phul ki patti kahin shabnam ka ek aansu
bikhar jata hai sab kuchh ruh ke sunsan sahra mein
main phir se zindagi karne ke arman mein
ek ek reze ko chunta hun sajata hun nai murat banata hun
dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna mein qadam aage baDhata hun
to ek be-nam gahri dhund mein sab Dub jata hai
kisi se kuchh shikayat hai na shikwa hai
ki main to dard ka mausam hun
apne aap mein palta hun apne aap mein jita hun
apne aansuon mein bhigta hun muskuraata hun
magar sab log kahte hain
tujhe jina nahin aata
Nazm
Mujhe jina nahin aata
Bashar Nawaz