mere saqiya mujhe bhul ja
mere dilruba mujhe bhul ja
na wo dil raha na wo ji raha
na wo daur-e-aish-o-KHushi raha
na wo rabt-o-zabt-e-dili raha
na wo auj-e-tishna-labi raha
na wo zauq-e-baada-kashi raha
main alam-nawaz hun aaj-kal
main shikasta-saz hun aaj-kal
main sarapa raaz hun aaj-kal
mujhe ab KHayal mein bhi na mila
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
mujhe zindagi se aziz-tar
faqat ek teri hi zat thi
teri har nigah mere liye
sabab-e-sukun-e-hayat thi
meri dastan-e-wafa kabhi
teri sharh-e-husn-e-sifat thi
magar ab to rang hi aur hai
na wo tarz hai na wo taur hai
ye sitam bhi qabil-e-ghaur hai
tujhe apne husn ka wasta
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
qasam iztirab-e-hayat ki
mujhe KHamushi mein qarar hai
mere sahn-e-gulshan-e-ishq mein
na KHizan hai ab na bahaar hai
yahi dil tha raunaq-e-anjuman
yahi dil charagh-e-mazar hai
mujhe ab sukun-e-digar na de
mujhe ab nawed-e-sahar na de
mujhe ab fareb-e-nazar na de
na ho wahm-e-ishq mein mubtala
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
Nazm
Mujhe bhul ja
Shakeel Badayuni