kisi ke dur jaane se
talluq TuT jaane se
kisi ke man jaane se
kisi ke ruTh jaane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ko aazmane se
kisi ke aazmane se
kisi ko yaad rakhne se
kisi ko bhul jaane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ko chhoD dene se
kisi ke chhoD jaane se
na shama ko jalane se
na shama ko bujhane se
mujhe ab Dar nahin lagta
akele muskurane se
kabhi aansu bahane se
na is sare zamane se
haqiqat se fasane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ki na-rasai se
kisi ki parsai se
kisi ki bewafai se
kisi dukh intihai se
mujhe ab Dar nahin lagta
na to is par rahne se
na to us par rahne se
na apni zindagani se
na ek din maut aane se
mujhe ab Dar nahin lagta
Nazm
Mujhe ab Dar nahin lagta
Mohsin Naqvi