shahid-e-jaur-e-gulchin hain asir-e-KHasta-tan hum hain
hamara jurm itna hai hawa-KHwah-e-chaman hum hain
satane ko sata le aaj zalim jitna ji chahe
magar itna kahe dete hain farda-e-watan hum hain
hamare hi lahu ki bu saba le jaegi kanan
milega jis se yusuf ka pata wo pairahan hum hain
hamein ye faKHr hasil hai payam-e-nur lae hain
zamin pahle-pahal chumi hai jis ne wo kiran hum hain
sula legi hamein KHak-e-watan aaghosh mein apni
na fikr-e-gor hai hum ko na muhtaj-e-kafan hum hain
bana lenge tere zindan ko bhi hum ghairat-e-mahfil
liye apni nigahon mein jamal-e-anjuman hum hain
nahin tesha to sar Takra ke ju-e-shir laenge
bayaban-e-junun mein jaanashin-e-kohkan hum hain
zamana kar raha hai koshishen hum ko miTane ki
hila pata nahin jis ko wo buniyaad-e-kuhan hum hain
na daulat hai na sarwat hai na ohda hai na taqat hai
magar kuchh baat hai hum mein ki jaan-e-anjuman hum hain
tere KHanjar se apne dil ki taqat aazmana hai
mohabbat ek apni hai tera sara zamana hai
fida-e-mulk hona hasil-e-qismat samajhte hain
watan par jaan dene hi ko hum jannat samajhte hain
kuchh aise aa gae hain tang hum kunj-e-asiri se
ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte hain
hamare shauq ki waraftagi hai did ke qabil
pahunchti hai agar iza use rahat samajhte hain
nigah-e-qahr ki mushtaq hain dil ki tamannaen
KHat-e-chin-e-jabin hi ko KHat-e-qismat samajhte hain
watan ka zarra zarra hum ko apni jaan se pyara hai
na hum mazhab samajhte hain na hum millat samajhte hain
hayat-e-arzi sadqe hayat-e-jawedani par
fana hona hi ab ek zist ki surat samajhte hain
hamein malum hai achchhi tarah tab-e-jafa teri
magar is se siwa apni had-e-ulfat samajhte hain
gham-o-ghussa dikhana ek dalil-e-na-tawani hai
jo hans kar choT khati hai use taqat samajhte hain
ghulami aur aazadi bas itna jaante hain hum
na hum dozaKH samajhte hain na hum jannat samajhte hain
dikhana hai ki laDte hain jahan mein ba-wafa kyunkar
nikalti hai zaban se zaKHm kha kar marhaba kyunkar
Nazm
Muhibban-e-watan ka nara
Anand Narayan Mulla