nasheb-e-arz pe zarron ko mushtail pa kar
bulandiyon pe safed-o-siyah mil hi gae
jo yaadgar the baham satiza-kari ki
ba-faiz-e-waqt wo daman ke chaak sil hi gae
jihad KHatm hua daur-e-ashti aaya
sambhal ke baiTh gae mahmalon mein diwane
hujum tishna-laban ki nigah se ojhal
chhalak rahe hain sharab-e-hawas ke paimane
ye jashn jashn-e-masarrat nahin tamasha hai
nae libas mein nikla hai rahzani ka julus
hazar sham-e-uKHuwwat bujha ke chamke hain
ye tirgi ke ubhaare hue hasin fanus
ye shaKH-e-nur jise zulmaton ne sincha hai
agar phali to shararon ke phul laegi
ye phal saki to nai fasl-e-gul ke aane tak
zamir-e-arz mein ek zahr chhoD jaegi
Nazm
Mufahamat
Sahir Ludhianvi