kitne bebak hain shair ab ke
kitne uryan hain ye afsana-nigar
kuchh samajh mein mere aate hi nahin
in adab-sozon ke gunjalak-ashaar
yun to apne ko ye kahte hain adib
paDhte hain jang ke lekin aKHbar
kabhi europe ka kabhi purab ka
zikr karne mein uDate hain sharar
dastanen na qaside na ghazal
adab-e-talKH ki har su bhar mar
kabhi punjab ki bhonDi baaten
kabhi bangal ke gande afkar
KHun-aluda hain un ki nasren
pip bahte hue in ke ashaar
un ke afsanon ke mauzu ajib
kali laDki kabhi kali shalwar
ann-data se kabhi laD baiThe
kabhi aflas pe khinchti talwar
un ki nazmon mein koi lutf nahin
na koi naghma na tafsir-e-bahaar
kabhi aawara kabhi KHana-ba-dosh
kabhi aurat kabhi mina-bazar
bad-mazaqi ki sarasar baaten
rang o bu chhoD ke aandhi ki pukar
harf-e-aKHir ki wo shamshir do-dam
zahr mein Dubi hui jis ki dhaar
jang-e-azadi ka sar mein sauda
beswa ke liye itne isar
aib-poshi unhen aati hi nahin
zaKHm dhote hain sar-e-rah-guzar
ek main bhi to hun pakka shair
magar in baaton se bilkul inkar
sanad-e-mazi se pur mera kalam
fikr-e-imroz se karta hun farar
hota hai saf mera har misra
ek bhi sher nahin zehn pe bar
lekin us ke liye ab kya main karun
ye samajhte nahin mujh ko fankar
inqilab aur adab-ha-e-ghazab
kitne maKHdush hain ye sab aasar
gaurki jabir o nazr-ul-islam
yahi do chaar hain in ke meyar
sunne mein aaya hai bahre mere kan
ki KHuda se bhi unhen hai inkar
mazhabon se unhen behad nafrat
mabadon par ye uDate hain ghubar
hukmaranon ka koi KHauf nahin
umra ka nahin kuchh dil mein waqar
chand par KHak uDane ke liye
jab bhi dekha unhen paya tayyar
muKHtasar ye ki har ek fel un ka
shola-dar-qasr shikan-dar-diwar
main to aajiz hun ilahi tauba
aaKHir aaega kabhi un ko qarar
koi lillah haTao un ko
jag uTThe hain sulao un ko
Nazm
Mudawa
Wamiq Jaunpuri