dam-e-ruKHsat
tape hue lahje mein KHamosh rahne wala
aankhon tak sulag uTha hoga
us ki sanson se mera dam ruk gaya
aur meri hatheliyan dhaDakne lagin
mera mard pure chand ki tarah mujh par chha gaya
wo aag se murattab hai
mere ang ang mein pighalne ki aarzu hai
us ke lams mein mere KHamir ki KHushbu kahan se sama gai
ki main apni talash mein us tak aa pahunchi
us ki aankhon mein meri aankhen thin
jab use mujh se juda kiya gaya
wo darwaze se bahar bhi darwaze ke andar tha
aur main darwaze ke andar bhi darwaze se bahar thi
Nazm
Mohabbat ki aaKHiri nazm
Nasreen Anjum Bhatti