ai mere dushman-e-jaan
main tujhe aur to kuchh kah nahin sakta lekin
kash taqdir kabhi tujh ko dikhae wo din
jab mohazzab si tawaif koi
apne peshe ki mazammat kar ke
tujh se izhaar-e-mohabbat kar ke
tere aasab pe nashshe ki tarah chha jae
aur tujhe
us ki mohabbat ka yaqin aa jae
ai mere dushman-e-jaan
Nazm
Meri tarah
Qateel Shifai