meri ramaen adhuri hai abhi
meri sita
aur mujh mein hail duri hai abhi
meri sita udas hai
rishton ka phaila ban-bas hai
phirna hai mujhe abhi
jangal jangal sahra sahra sagar sagar
mera hamza wahi mera lachhman hai abhi
zamana to ayyar hai
sau bhes badal leta hai
sadhuon ke bahrup mein hain poshida abhi
na jaane rakshash kitne
aaj phir
zamane ne chhal liya hai mujhe
meri sita ko
haalat ke rawan ne
har liya hai abhi
dur bahut dur
meri nigahon se ojhal
sahil samundar ki ret par
wo be-sudh paDi ro rahi hai abhi
taham
apni shikasta haali se
is ne haar nahin mani hai abhi
waqt ke lankeshwar ke aage
us ne aatm samarpan kiya nahin hai abhi
rit mein dhansi apni nannhi si kashti ko
wo tak rahi hai ghaur se
apne ram ke qadmon ki aahaT
ki muntazir samaat ko sameTe hue
sarapa-bagosh bani
dukh ki bhaTTi mein tap ke nikhar rahi hai abhi
milan ki shubh ghaDi ka use abhi hai yaqin
is ke KHushk honTon pe hai mera hi nam
ram ram ram
sahibo
haqiqat to ye hai ki rakshas bahar nahin hai kahin
rakshas to KHud apne andar
darun-e-KHana-e-dil mein ru-posh hai kahin
meri sita
meri bholi bhaali sita ko
intizar us sunahre pul ka hai
jab mera ghussa shant hoga
aur mere andar se
mariyaada purush ram utpann honge kabhi na kabhi
tab rawan apne aap hi parast ho jaega
tabhi ram ji apni sita ko
apne pahlu mein uTha kar le jaenge
apne dil ke singhasan par biThaenge tabhi
tabhi dip jalenge
ghar aangan mein upar niche chaaron aur
tabhi din dasahra hoga
tabhi raat diwali hogi
meri ramayan adhuri hai abhi
phirna hai mujhe abhi
jangal jangal sahra sahra sagar sagar
Nazm
Meri ramaen adhuri hai abhi
Perwaiz Shaharyar