mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujyare watan
har aankh ke tare watan
gul-posh teri wadiyan
farhat-nishan rahat-rasan
tere chaman-zaron pe hai
gulzar-e-jannat ka guman
har shaKH phulon ki chhaDi
har naKHl-e-tuba hai yahan
kausar ke chashme ja-ba-ja
tasnim har aab-e-rawan
har barg ruh-e-tazgi
har phul jaan-e-gulsitan
har bagh bagh-e-dil-kashi
har bagh bagh-e-be-KHizan
dilkash charagahen teri
Dhoron ke jin mein karwan
anjum-sifat gulha-e-nau
har taKHta-e-gul aasman
naqsh-e-surayya ja-ba-ja
har har rawish ek kahkashan
teri bahaaren daimi
teri bahaaren jawedan
tujh mein hai ruh-e-zindagi
paiham rawan paiham dawan
dariya wo tere tund-KHu
jhilen wo teri be-karan
sham-e-awadh ke lab pe hai
husn-e-azal ki dastan
kahti hai raaz-e-sarmadi
subh-e-banaras ki zaban
uDta hai haft-aflak par
un kar-KHanon ka dhuan
jin mein hain lakhon mehnati
sanat-gari ke pasban
teri banaras ki zari
rashk-e-harir-o-parniyan
bidar ki fankari mein hain
sanat ki sab barikiyan
azmat tere iqbaal ki
tere pahaDon se ayan
dariyaon ka pani, tari
taqdis ka andaza-dan
kya 'bhaartendu' ne kiya
ganga ki lahron ka bayan
'iqbaal' aur chakbast hain
azmat ke teri naghma-KHwan
'josh' o 'firaq' o 'pant' hain
tere adab ke tarjuman
'tulsi' o 'KHusraw' hain teri
tarif mein ratb-ul-lisan
gate hain naghma mil ke sab
uncha rahe tera nishan
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
tere nazaron ke nagin
duniya ki KHatam mein nahin
sare jahan mein muntaKHab
kashmir ki arz-e-hasin
fitrat ka rangin moajaza
firdaus bar-ru-e-zamin
firdaus bar-ru-e-zamin
han han hamin ast o hamin
sarsabz jis ke dasht hain
jis ke jabal hain surmagin
mewe ba-kasrat hain jahan
shirin misal-e-angbin
har zafaran ke phul mein
aks-e-jamal-e-hurain
wo malwe ki chandni
gum jis mein hon duniya-o-din
is KHitta-e-nairang mein
har ek faza husn-afrin
har shai mein husn-e-zindagi
dilkash makan dilkash zamin
har mard mard-e-KHub-ru
har ek aurat naznin
wo taj ki KHush-paikari
har zawiye se dil-nashin
sanat-garon ke daur ki
ek yaadgar-e-marmarin
hoti hai jo har sham ko
faiz-e-shafaq se ahmarin
dariya ki maujon se alag
ya ek bat-e-nazzara-bin
ya taer-e-nuri koi
parwaz karne ke qarin
ya ahl-e-duniya se alag
ek aabid-e-uzlat-guzin
naqsh-e-ajanta ki qasam
jachta nahin arzhang-e-chiÛn
shan-e-ellora dekh kar
jhukti hai aazar ki jabin
chittauD ho ya aagara
aise nahin qile kahin
but-gar ho ya naqqash ho
tu sab ki azmat ka amin
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
dilkash tere dasht o chaman
rangin tere shahr o chaman
tere jawan raana jawan
tere hasin gul pairahan
ek anjuman duniya hai ye
tu is mein sadr-e-anjuman
tere mughanni KHush-nawa
shaer tere shirin-suKHan
har zarra ek mah-e-mubin
har KHar rashk-e-nastarin
ghuncha tere sahra ka hai
ek nafa-e-mushk-e-KHutan
kankar hain tere be-baha
patthar tere lal-e-yaman
basti se jangal KHub-tar
baghon se husn afroz ban
wo mor wo kabk-e-dari
wo chaukDi bharte hiran
rangin-ada wo titliyan
banbni mein wo nagon ke phan
wo sher jin ke nam se
larze mein aae ahrman
kheton ki barkat se ayan
faizan-e-rabb-e-zul-minan
chashmon ke shirin aab se
lazzat-kashan kaam-o-dahan
tabinda tera ahd-e-nau
raushan tera ahd-e-kuhan
kitnon ne tujh par kar diya
qurban apna mal dhan
kitne shahidon ko mile
tere liye dar-o-rasan
kitnon ko tera ishq tha
kitnon ko thi teri lagan
tere jafa-kash mehnati
rakhte hain azm-e-kohkan
tere sipahi surma
be-misl yakta-e-zaman
'bhisham' sa jin mein hausla
'arjun' sa jin mein bankpan
aalim jo faKHr-e-ilm hain
fankar nazan jin pe fan
'rae' o 'bos' o 'shergil'
'dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan'
'wallathol' 'mahir', bhaarti
'bachchan', 'mahadewi' 'suman'
'krishnan', 'nirala', 'prem-chand'
'tagore' o 'azad' o 'raman'
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
kheti teri har ek hari
dilkash teri KHush-manzari
teri bisat-e-KHak ke
zarre hain mahr-o-mushtari
jhelum kaweri nag wo
ganga ki wo gangotari
wo narbada ki tamkanat
wo shaukat-e-godawari
pakizgi sarju ki wo
jamuna ki wo KHush-gauhari
dullarba aab-e-nil-gun
kashmir ki nilam-pari
dilkash papihe ki sada
koyal ki tanen mad-bhari
titar ka wo haq sirrahu
tuti ka wo wird-e-hari
sufi tere har daur mein
karte rahe paighambari
'chishti' o 'nanak' se mili
faqr-o-ghina ko bartari
adl-e-jahangiri mein thi
muzmar reaya-parwari
wo nau-ratan jin se hui
tahzib-e-daur-e-akbari
rakhte the afghan-o-mughal
ek saulat-e-askandari
ranaon ke iqbaal ki
hoti hai kis se ham-sari
sawant wo yodhdha tere
tere jiyale wo jari
niati widur ki aaj tak
karti hai teri rahbari
ab tak hai mashhur-e-zaman
'chanakya' ki danish-wari
wayas aur wishwamitr se
muniyon ki shan-e-qaisari
patanjali o sankh se
rishiyon ki hikmat-parwari
baKHshe tujhe inam-e-nau
har daur charKH-e-chambari
KHush-gauhari de aab ko
aur KHak ko KHush-jauhari
zarron ko mahr-afshaniyan
qatron ko dariya-gustari
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
tu rahbar-e-nau-e-bashar
tu amn ka paigham-bar
pale hain tu ne god mein
sahib-KHirad sahib-e-nazar
afzal-tarin in sab mein hai
bapu ka nam-e-mo'tabar
har lafz jis ka dil-nashin
har baat jis ki pur-asar
jis ne lagaya dahr mein
nara ye be-KHauf-o-KHatar
be-kar hain tir-o-sinan
be-sud hain tegh-o-tabar
hinsa ka rasta jhuT hai
haq hai ahinsa ki Dagar
darman hai ye har dard ka
ye har maraz ka chaara-gar
jangah-e-alam mein koi
is se nahin behtar sipar
karta hun main tere liye
ab ye dua-e-muKHtasar
raunaq pe hon tere chaman
sarsabz hon tere shajar
naKHl-e-umid-e-behtari
har fasl mein ho barwar
koshish ho duniya mein koi
KHitta na ho zer-o-zabar
tera har ek basi rahe
neko-sifat neko-siyar
har zan saliqa-mand ho
har mard ho sahib-hunar
jab tak hain ye arz o falak
jab tak hain ye shams o qamar
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujyare watan
har aankh ke tare watan
Nazm
Mere pyare watan
Arsh Malsiyani