mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
saya-e-sham-e-ghariban ki tarah
shorish-e-dida-e-giryan ki tarah
mausam-e-kunj-e-bayaban ki tarah
kitna be-nutq hai yaadon ka hujum
jaise honTon ki faza yaKH-basta
jaise lafzon ko gahan lag jae
jaise ruThe hue raston ke musafir chup-chap
jaise marqad ke sirhane koi KHamosh charagh
jaise sunsan se maqtal ki salib
jaise kajlai hui shab ka nasib
mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
phir se zaKHmon ki qataren jagin
awwal-e-sham-e-charaghan ki tarah
har nae zaKHm ne phir yaad dilaya mujh ko
isi kamre mein kabhi
mahfil-e-ahbab ke sath
gungunate hue lamhon ke shajar phailte the
raqs karte hue jazbon ke dahakte lamhe
qarya-e-jaan mein lahu ki surat
sham-e-wada ki tarah jalte the
sans leti thi faza mein KHushbu
aankh mein gulban-e-marjaan ki tarah
sans ke sath guhar Dhalte the
aaj kya kahiye ki aisa kyun hai
sham chup-chap
faza yaKH-basta
dil mera dil ki samundar ki tarah zinda tha
tere hote hue tanha kyun hai
to ki KHud chashma-e-awaz bhi hai
meri mahram meri hamraaz bhi hai
tere hote hue har samt udasi kaisi
sham chup-chap
faza yaKH-basta
dil ke hamrah badan TuT raha ho jaise
ruh se rishta-e-jaan chhuT raha ho jaise
ai ki tu chashma-e-awaz bhi hai
hasil-e-naghmagi-e-saz bhi hai
lab-kusha ho ki sar-e-sham-e-figar
is se pahle ki shikasta-dil mein
bad-gumani ki koi tez kiran chubh jae
is se pahle ki charagh-e-wada
yak-ba-yak bujh jae
lab-kusha ho ki faza mein phir se
jalte lafzon ke dahakte jugnu
tair jaen to sukut-e-shab-e-uryan TuTe
phir koi band-e-gareban TuTe
lab-kusha ho ki meri nas nas mein
zahr bhar de na kahin
waqt ki zaKHm-faroshi phir se
lab-kusha ho ki mujhe Das legi
KHud-faramoshi phir se
mere kamre mein utar aai
KHamoshi phir se
Nazm
Mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
Mohsin Naqvi