ab tak mere giton mein ummid bhi thi paspai bhi
maut ke qadmon ki aahaT bhi jiwan ki angDai bhi
mustaqbil ki kirnen bhi thin haal ki bojhal zulmat bhi
tufanon ka shor bhi tha aur KHwabon ki shahnai bhi
aaj se main apne giton mein aatish-pare bhar dunga
maddham lachkili tanon mein jiwaT dhaare bhar dunga
jiwan ke andhiyare path par mishal le kar niklunga
dharti ke phaile aanchal mein surKH sitare bhar dunga
aaj se ai mazdur kisano mere git tumhaare hain
faqa-kash insano mere jog-bahag tumhaare hain
jab tak tum bhuke nange ho ye naghme KHamosh na honge
jab tak be-aram ho tum ye naghme rahat-kosh na honge
mujh ko is ka ranj nahin hai log mujhe fankar na manen
fikr-o-fan ke tajir mere sheron ko ashaar na manen
mera fan meri umiden aaj se tum ko arpan hain
aaj se mere git tumhaare dukh aur sukh ka darpan hain
tum se quwwat le kar ab main tum ko rah dikhaunga
tum parcham lahrana sathi main barbat par gaunga
aaj se mere fan ka maqsad zanjiren pighlana hai
aaj se main shabnam ke badle angare barsaunga
Nazm
Mere git tumhaare hain
Sahir Ludhianvi