tegh lahu mein Dubi thi aur peD KHushi se jhuma tha
baad-e-bahaari chali jhum ke jab us ne mujh ko dekha tha
ghayal nazren us dushman ki aise mujh ko takti thin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
ye insaf to baad mein hoga kya sachcha kya jhuTa hai
kaun yaqin se kah sakta hai kaun bura kaun achchha hai
lekin phir bhi ek bar to mera dil bhi kanpa tha
kash ye sab kuchh kabhi na hota main ne dukh se socha tha
ghayal nazren us dushman ki gahri soch mein khoi thin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
kaun hun main aur kaun tha wo jis par honi ne war kiya
kaun tha wo jis shaKHs ko main ne bhari bahaar mein mar diya
Nazm
Mere dushman ki maut
Muneer Niyazi