didani hai ye mera ghar mera virana bhi
is guzargah pe kuchh der Thahar ja sayyah
mujh ko malum hai tu sara jahan dekh chuka
han ufuq-ta-ba-ufuq sari zamin dekhi hai
tu ne aiwan bhi dekhe hain khanDar bhi dekhe
wadiyan dekhin pahaDon ki jabin dekhi hai
meri duniya mein zara dekh ki is duniya ko
dekhne walon ne ab tak kabhi dekha hi nahin
main fasana hun koi chahe to mujh ko likh le
par mera haal kisi ne kabhi puchha hi nahin
tujh ko ai dost dikhaun ki kahan rahta hun
ye wo ghar hai ki jo shayad kabhi ho sakta tha ghar
tujh ko shayad na nazar aae magar ye sach hai
is ke sine mein hain poshida mere lal-o-gohar
ye zamin ujDi hui TuTi hui hai diwar
par isi kokh mein dharti ki hai sarmaya mera
main jo is waqt nazar aata hun ye main nahin hun
meri taswir hai dhundla sa hai ye saya mera
meri taswir ki aankhon mein basa hai ek shahr
is mein hain unche mahal jo main bana sakta tha
is mein hain meri wo KHushiyan ki jo mil sakti thin
is mein hai meri wo manzil jo main pa sakta tha
is mein hain meri mohabbat ke wo sare arman
jin se mahrum raha mera ye bedar shabab
is mein hain meri kitaben ki jo likkhi na gain
is mein hain mere wo ashaar nahin jin ka jawab
han yahin dafn hain wo sari kitaben jin ko
zindagi deti jo fursat to main likh sakta tha
isi miTTi mein hain wo nazmen wo ghazlen meri
jin ko kahne koi deta to main kah sakta tha
mere sayyah bahut tu ne maqabir dekhe
sach kaha sadiyon mein ek taj-mahal banta hai
han magar meri tarah roz hi insan koi
zinda rahne ke liye dahr mein mar jata hai
Nazm
Mera ghar mera virana
Khalilur Rahman Azmi