wo ek mazdur laDki hai
bahut aasan hai mere liye us ko mana lena
zara aarasta ho lun
mera aaina kahta hai
kisi sab se baDe but-saz ka shahkar hun goya
main shahron ke tabassum-pash nazzaron ka pala hun
main parwarda hun baron qahwa-KHanon ki fazaon ka
main jab shahron ki rangin titliyon ko chheD leta hun
main jab aarasta KHalwat-kadon ki mez par ja kar
sharabon se bhi KHush-rang phulon ko apna hi leta hun
to phir ek ganw ki pali hui masum si laDki
mere bas mein na aaegi
bhala ye kaise mumkin hai?
aur
phir aise mein jab main chahta hun pyar karta hun
zara baiTho
main dariya ke kinare
dhan ke kheton mein ho aaun
yahi mausam hai
jab dharti se hum roTi ugate hain
tumhein taklif to hogi
hamare jhonpaDon mein chaarpai bhi nahin hoti
nahin main ruk gai
to dhan tak pani na aaega
hamare ganw mein
barsat hi to ek mausam hai
ki jab hum
sal bhar ke waste kuchh kaam karte hain
idhar baiTho
parai laDkiyon ko is tarah dekha nahin karte
ye lipstick
ye powder
aur ye scarf
kya hoga
mujhe kheton mein mazduri se fursat hi nahin milti
mere honTon pe ghanTon bund pani ki nahin paDti
mere chehre mere bazu pe lu aur dhup rahti hai
gale mein sirf pital ka ye chandan haar kafi hai
hawa mein dilkashi hai
aur faza sona luTati hai
mujhe un se aqidat hai
yahi meri mataa meri nemat hai
bahut mamnun hun lekin
huzur aap apne tohfe
shahr ki pariyon mein le jaen
Nazm
Mazdur laDki
Salam Machhli shahri