maut meri jaan maut
tu baDi muddat se meri tak mein hai
zindagi mamta bhari man
aur tu ai maut ek mashuqa wa-aghosh
ret aur patthar hazaron sal ham-bistar rahe lekin
ghas ki patti bhi paida kar na pae
zindagi aur ye zamana bhi baDi muddat se ham-aghosh hain
KHair is qisse ko chhoD kar
dekh
richh ke pairon sa dast-e-sud-KHwar
apne TeDhe meDhe naKHun
ya teri wahshi-nigah
mere sine mein gaD diye ja raha hai
aankh
KHalwat ki jhulasti ret par
aab-pash
aur tapti ret se
koi konpal
koi rang
koi KHushbu
koi shai uThti nahin
ek bhura-pan
KHalwat-e-be-rang ko bad-rang kar jata hai bas
raushnai KHushk nib TuTi hui kaghaz ki aankhen nam
dimakon ka ghar dimagh
aur meri tak mein tu
kyun rag-o-pai mein sarayat kar raha hai ye siyah ehsas
lamha lamha KHatm hota ja raha hun
aankh se Tapke hue ashkon ke sath
qatra qatra KHatm!
nuqta nuqta KHatm!
chhah tabassum qarz le kar
sud mein apne badan ka gosht ada karne ke har wade ke sath
KHatm hote ja rahe mujh ko agar pa bhi gai to kya karegi
maut meri jaan maut
Nazm
Maut meri jaan maut
Ameeq Hanafi