اردو हिंदी
Mata-e-raegan | Shaahi Shayari
mata-e-raegan

Nazm

Mata-e-raegan

Akhtar-ul-Iman

;

ye dard-e-zindagi kis ki amanat hai kise de dun
koi waris nahin is ka mata-e-raegan hai ye

masiha ab na aaenge yahi nashtar rag-e-jaan mein
KHalish banta rahega meri sanson mein nihan hai ye

KHudaya hum se pahle log bhi jo is zamin par the
yunhi pamal hote the, jo is ke baad aaenge

umid-e-subh ke KHanjar se zaKHmi ho ke jaenge?
(kahan ja kar rukega qafila in sogwaron ka)

ye phir bhi tere bande hain teri hi hamd gaenge
inhen aankhen to de di hain basarat bhi inhen de de

tujhe sab DhunDte hain is tarah andhe hain sab jaise
isi kore waraq par kuchh ibarat bhi unhen de de

khaDa hai munh kiye mashriq ki jaanib, koi maghrib ki
(miri taswir mein in chiKHte rangon ki aisi kya zarurat thi)

KHudaya baKHsh de in be-gunahon ke gunahon ko
ye mani DhunDte hain kashmakash mein raat aur din ki

haqiqat ko samajhna chahte hain sal aur sin ki
ye sab majbur hain in par dar-e-tauba khula rakhna

ye duniya KHauf aur lalach pe jis ki niw rakkhi hai
isi miTTi se phuTe hain isi dharti ke pale hain

ujala bhi yahi hain is zamin ka aur andhera bhi
yahi shahkar hain tera yahi panw ke chhaale hain

(ye sab ke sab libas-e-faKHira mein maili bheDen hain)
ilah-al-alamin in ki KHata se dar-guzar karna

bahut mazur hain ye KHud-nigar apni jibillat se
muqaddar in ka hai sham o sahar ko roz sar karna

masai in ki sim-o-zar ke Dheron mein badal dena
tere pas aaen, moti ke mahl mehnat ka phal dena