barson baad bar-nok-e-zaban rahta hai koi sher
phir ek din
us ke jaane pahchane hazar martaba dohrae hue alfaz ke andar
khul jata hai maani ka ek naya darwaza
aur rah jate hain hum hakka-bakka
jis mafhum par sar dhunte aae the kal tak kitna sathi kitna adhura tha wo
shukr karte hain ki nahin puchh liya kisi ne hum se is sher ka matlab
satya-nas kar Dalte achchhe bhale sher ka in nae maani ke baghair hum
yahi kuchh hota hai zindagi mein pesh aane wale
waqiat o hadsat ke sath bhi
jo kuchh bit gaya aur bit raha hai hum par
der tak raaz hi nahin khulta us ki ahmiyat ka
be-maqsad ho raha hai ye sab kuchh
ya is ka hamare mustaqbil aur muqaddar se bhi talluq hai kuchh
phir parda sa haTta hai aur ho jate hain hum gharq-e-hairat
kitna mahdud tha hamara naqd-e-ilm
aur kin mughaaliton mein paDe hue the hum
mujhe to KHugar sa bana diya hai roz-marra ki is hairani o pareshani ne
nae se naya sadma sahne ko tayyar rahta hun subh o sham
apni jahaalat ke inkishaf par
one-day cricket to shauq se dekhte hain aap bhi
yun samajhiye ki mashq tha guzishta kal ka match aaj ke match ki
mashq hai aaj ka match aane wale kal ke liye
aur kal jo match hoga apni jagah wo final hi kyun na ho
mashq hoga parson ke match ki
haDDiyan gal gain itni sada si baat samajhte samajhte
ki har din tulu hota hai apne sath ek naya sawal ek naya challenge le kar
aur mutaliba karta hai hum se ek nae jawab ek nae tarz-e-amal ka
na to zindagi hi jamid hai na zindagi ka KHaliq KHuda
zindagi bahte dariya ki tarah badalti rahti hai har lahza qaem-o-daem rahte hue
aur nit-nai taKHliq mein masruf KHuda bhi nahin hota kabhi pahle wala KHuda
jab zindagi aur us ke KHaliq hi ki kaya kalp hoti rahti hai yun
to ashaar hon ya waqiat o hadsat badal jata hai hir shai ka mafhum
bhai, badal jate hain hum KHud badal jati hai hamari nazar hamara ehsas
badal jati hain wo mohabbaten
jin ke azli o abadi hone ki qasmen khaya karte the hum
badal jati hain be-badal dostiyan
wo KHwahishen badal jati hain jinhon ne
ek umr pagal banae rakha hota hai hamein
aur to aur badal jate hain din aur iman
raste hi nahin badal jati hain manzilen
sun rahe hain aap
bhar to nahin pae aap bhi?
kidhar chal diye aap?
badal to nahin gae aap bhi?
Nazm
Mashq
Mohammad Haneef Rame