maut ne raat ke parde mein kiya kaisa war
raushani-e-subh watan ki hai ki matam ka ghubar
marka sard hai soya hai watan ka sardar
tantana sher ka baqi nahin suna hai kachhaar
bekasi chhati hai taqdir phiri jati hai
qaum ke hath se talwar giri jati hai
uTh gaya daulat-e-namus-e-watan ka waris
qaum marhum ke eazaz-e-kuhan ka waris
jaan-nisar-e-azali sher-e-Deccan ka waris
peshwaon ke garajte hue ran ka waris
thi samai hui puna ki bahaar aankhon mein
aaKHiri daur ka baqi tha KHumar aankhon mein
maut mahrashTra ki thi ya teri marne ki KHabar
murdani chha gai insan to kya patthar par
pattiyan jhuk gain murjha gae sahra ke shajar
rah gae josh mein bahte hue dariya tham kar
sard-o-shadab hawa ruk gai kohsaron ki
raushni ghaT gai do-chaar ghaDi taron ki
tha nigahban-e-watan dabadaba-e-am tera
na digen panw pe tha qaum ko paigham
dil raqibon ke larazte the ye tha kaam tera
nind se chaunk paDe sun jo liya nam tera
yaad kar ke tujhe mazlum-e-watan roenge
banda-e-rasm-e-jafa chain se ab soenge
zindagi teri bahaar chamanistan-e-wafa
aabru tere liye qaum se paiman-e-wafa
aashiq-e-nam-e-watan kushta-e-arman-e-wafa
mard-e-maidan-e-wafa jism-e-wafa jaan-e-wafa
ho gai nazr-e-watan hasti-e-fani teri
na to piri rahi teri na jawani teri
auj-e-himmat pe raha teri wafa ka KHurshed
maut ke KHauf pe ghaalib rahi KHidmat ki umed
ban gaya qaid ka farman bhi rahat ki nawed
hue tariki-e-zindan mein tere baal saped
phir raha hai meri nazron mein sarapa tera
aah-o-qaid-e-sitam aur buDhapa tera
moajiza ashk-e-mohabbat ka dikhaya tu ne
ek qatra se ye tufan uThaya tu ne
mulk ko hasti-e-bedar banaya tu ne
jazba-e-qaum ko jadu ko jagaya tu ne
ek taDap aa gai sote hue armanon mein
bijliyan kaund gain qaum ke viranon mein
lash ko teri sanwaren na rafiqan-e-kuhan
ho jabin ke liye sandal ki jagah KHak-e-watan
tar hua hai jo shahidon ke lahu se daman
den usi ka tujhe punjab ke mazlum kafan
shor-e-matam na ho jhankar ho zanjiron ki
chahiye qaum ke bhisham ko chita tiron ki
Nazm
Marsiya baal-ganga-dhar-tilak
Chakbast Brij Narayan