achanak ek shabih
be-sada si jast bhar ke
aaine ke pas se guzar gai
siyah zard dhaariyan
ki jaise lahr ek lahr se juDi hui
singar mez ek dam laraz uThi
clock ka talai aks bhi dahal gaya
badan jo tha buKHar ke hisar mein pighal gaya
maraatib-e-wajud bhi ajib hain
lahu ki kauniyat mein
sifat aur zat mein
ajab tarah ke bhed hain
yaqin o zan ki chalniyon mein
sau tarah ke chhed hain
abhi to jagta tha main
amiq dard mein karahta tha main
phir aankh kaise lag gai
abhi to sau raha tha main
phir aankh kaise khul gai
badan se ye lihaf ka pahaD kaise haT gaya
KHabar nahin ki haDDiyon ke joD kis tarah khule
dahan faraKH ho ke pichhe kaise khinch gaya
nukile dant kis tarah nikal paDe
nigahen kaise shola-ru huin
na jaane kaise dast-o-pa ki ungliyan muDi
kamar lachak si kha ke kaise phailti gai
ye jild kaise saKHt khaal mein Dhali
ye gupphe-dar dum kahan se aa gai
wajud ke kachaar mein
dahaDta hua
zaqand bhar ke main kahan chala gaya
mujhe to kuchh pata nahin
maraatib-e-wajud bhi ajib hain
Nazm
Maraatib-e-wajud bhi ajib hain
Rafiq Sandelvi